ye mas'ala hai aur koi mas'ala nahin | ये मसअला है और कोई मसअला नहीं

  - Lais Quraishi

ye mas'ala hai aur koi mas'ala nahin
apna hareef main hoon koi doosra nahin

kal mujh pe khul gaya tira husn-e-munaafiqat
is saanehe ke ba'ad koi saanehaa nahin

muflis nahin hai zehan-e-tahi-dast hoon to kya
dast-e-talab daraaz kahi bhi kiya nahin

har-gaam-o-har-nafas rahe darpaish marhale
zauq-e-safar gawaah ki main bhi ruka nahin

ai maslahat-pasand hamaara bhi tere saath
har-chand raabta hai magar raabta nahin

duniya se chand roz mein sab kuchh to mil gaya
milna ab aur kya hai jo ab tak mila nahin

mumkin nahin ki aayein azaem mein laghzishein
uftada waqt hi to hai uftaad-pa nahin

chhota hoon is liye mujhe ehsaan hain sab ke yaad
mohsin ko bhool jaaun main itna bada nahin

ahvaal waqai to hai khud hi zabaan-e-jaan
lekin sar-e-ghuroor kahi bhi jhuka nahin

main tujh ko yaad aaun aur aaun tamaam-umr
ai dost main bura hoon par itna bura nahin

jau bone waale bo ke to jau chal diye magar
kahte hain ab ke fasl mein gandum ugaa nahin

khwaab-e-baqa ki bas yahi ta'beer hai ki lais
duniya mein sirf ek fana ko fana nahin

ये मसअला है और कोई मसअला नहीं
अपना हरीफ़ मैं हूँ कोई दूसरा नहीं

कल मुझ पे खुल गया तिरा हुस्न-ए-मुनाफ़िक़त
इस सानेहे के बा'द कोई सानेहा नहीं

मुफ़्लिस नहीं है ज़ेहन-ए-तही-दस्त हूँ तो क्या
दस्त-ए-तलब दराज़ कहीं भी किया नहीं

हर-गाम-ओ-हर-नफ़स रहे दरपेश मरहले
ज़ौक़-ए-सफ़र गवाह कि मैं भी रुका नहीं

ऐ मस्लहत-पसंद हमारा भी तेरे साथ
हर-चंद राब्ता है मगर राब्ता नहीं

दुनिया से चंद रोज़ में सब कुछ तो मिल गया
मिलना अब और क्या है जो अब तक मिला नहीं

मुमकिन नहीं कि आएँ अज़ाएम में लग़्ज़िशें
उफ़्तादा वक़्त ही तो है उफ़्ताद-पा नहीं

छोटा हूँ इस लिए मुझे एहसाँ हैं सब के याद
मोहसिन को भूल जाऊँ मैं इतना बड़ा नहीं

अहवाल वाक़ई तो है ख़ुद ही ज़बान-ए-जाँ
लेकिन सर-ए-ग़ुरूर कहीं भी झुका नहीं

मैं तुझ को याद आऊँ और आऊँ तमाम-उम्र
ऐ दोस्त मैं बुरा हूँ पर इतना बुरा नहीं

जौ बोने वाले बो के तो जौ चल दिए मगर
कहते हैं अब के फ़स्ल में गंदुम उगा नहीं

ख़्वाब-ए-बक़ा की बस यही ता'बीर है कि 'लैस'
दुनिया में सिर्फ़ एक फ़ना को फ़ना नहीं

  - Lais Quraishi

Bekhabri Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lais Quraishi

As you were reading Shayari by Lais Quraishi

Similar Writers

our suggestion based on Lais Quraishi

Similar Moods

As you were reading Bekhabri Shayari Shayari