teri jafaa hui ki jahaan ka gazab hua | तेरी जफ़ा हुई कि जहाँ का ग़ज़ब हुआ

  - Lais Quraishi

teri jafaa hui ki jahaan ka gazab hua
ham par to jo sitam bhi hua be-sabab hua

is sa'at-e-saeed ko kya naam deejie
insaan aseer-e-waqt ke zindaan mein jab hua

shola-sifat hain raqs mein apne chaman ke phool
is aalam-e-bahaar mein ye kya gazab hua

shaayad yahi mazaq-e-talab ki hai intiha
duniya-e-rang-o-boo mein bhi dil be-talab hua

munsif ko maslahat ki zabaan raas aa gai
go faisla hua magar insaaf kab hua

us ko naseeb ho na saka rishta-e-khuloos
jo qaail-e-qaziya-e-hasb-o-nasb hua

jaari hai ek teergi-o-roshni ki jang
jab se shuoor-e-silsila-e-roz-o-shab hua

had-e-nigaah tak kahi sholay kahi dhuaan
ye khaak-o-khun ka khel gulistaan mein kab hua

is haadse pe aap ka jo tabsira bhi ho
main aashna-e-mehfil-e-aish-o-tarab hua

kaise ho tum ko lazzat-e-aazaad jaan-naseeb
dushwaar marhalon se guzarna hi kab hua

kitne azeem log tah-e-khaak ho gaye
tu bhi hua jo lais to phir kya ajab hua

तेरी जफ़ा हुई कि जहाँ का ग़ज़ब हुआ
हम पर तो जो सितम भी हुआ बे-सबब हुआ

इस साअ'त-ए-सईद को क्या नाम दीजिए
इंसाँ असीर-ए-वक़्त के ज़िंदाँ में जब हुआ

शोला-सिफ़त हैं रक़्स में अपने चमन के फूल
इस आलम-ए-बहार में ये क्या ग़ज़ब हुआ

शायद यही मज़ाक़-ए-तलब की है इंतिहा
दुनिया-ए-रंग-ओ-बू में भी दिल बे-तलब हुआ

मुंसिफ़ को मस्लहत की ज़बाँ रास आ गई
गो फ़ैसला हुआ मगर इंसाफ़ कब हुआ

उस को नसीब हो न सका रिश्ता-ए-ख़ुलूस
जो क़ाइल-ए-क़ज़िया-ए-हसब-ओ-नसब हुआ

जारी है एक तीरगी-ओ-रौशनी की जंग
जब से शुऊर-ए-सिलसिला-ए-रोज़-ओ-शब हुआ

हद-ए-निगाह तक कहीं शो'ले कहीं धुआँ
ये ख़ाक-ओ-ख़ूँ का खेल गुलिस्ताँ में कब हुआ

इस हादसे पे आप का जो तब्सिरा भी हो
मैं आश्ना-ए-महफ़िल-ए-ऐश-ओ-तरब हुआ

कैसे हो तुम को लज़्ज़त-ए-आज़ाद जाँ-नसीब
दुश्वार मरहलों से गुज़रना ही कब हुआ

कितने अज़ीम लोग तह-ए-ख़ाक हो गए
तू भी हुआ जो 'लैस' तो फिर क्या अजब हुआ

  - Lais Quraishi

Qismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lais Quraishi

As you were reading Shayari by Lais Quraishi

Similar Writers

our suggestion based on Lais Quraishi

Similar Moods

As you were reading Qismat Shayari Shayari