ye aarzoo hain ham koi aarzoo karte
aseer khud ko na ham daam-e-rang-o-boo karte
i'taab-been jo hamaare hain nuqta-cheen ham par
kahi jo milte to ham khul ke guftugoo karte
vo aaina jo kare harf-geeri-e-kirdaar
jo haath aaye to logon ke roo-b-roo karte
kahi suraagh-e-khuloos-o-wafa agar milta
to apni zaat ko ham waqf-e-justujoo karte
ham aaj ashk-b-daamaan jo hain to rona kya
tamaam-umr hi guzri hai haa-o-hoo karte
misaal-e-aaina rakhte jo dil mein aks-e-jameel
kabhi tabaah na sheeshe ki aabroo karte
kharab hote kharaabe mein aur kya hota
huzoor-e-saaqi agar ham suboo suboo karte
hamein bhi kaash jo taufeeq-e-azadi hoti
to ham bhi kausr-o-tasneem se wuzoo karte
yaqeen jo hota ki honge halaak sidq-o-wafa
to ehtimaam se marne ki aarzoo karte
hamein bhi raas jo aati shaguftagi dil ki
to lais ham bhi kabhi jurat-e-numoo karte
ये आरज़ू हैं हम कोई आरज़ू करते
असीर ख़ुद को न हम दाम-ए-रंग-ओ-बू करते
इ'ताब-बीं जो हमारे हैं नुक्ता-चीं हम पर
कहीं जो मिलते तो हम खुल के गुफ़्तुगू करते
वो आइना जो करे हर्फ़-गीरी-ए-किरदार
जो हाथ आए तो लोगों के रू-ब-रू करते
कहीं सुराग़-ए-ख़ुलूस-ओ-वफ़ा अगर मिलता
तो अपनी ज़ात को हम वक़्फ़-ए-जुस्तुजू करते
हम आज अश्क-ब-दामाँ जो हैं तो रोना क्या
तमाम-उम्र ही गुज़री है हा-ओ-हू करते
मिसाल-ए-आइना रखते जो दिल में अक्स-ए-जमील
कभी तबाह न शीशे की आबरू करते
ख़राब होते ख़राबे में और क्या होता
हुज़ूर-ए-साक़ी अगर हम सुबू सुबू करते
हमें भी काश जो तौफ़ीक़-ए-एज़दी होती
तो हम भी कौसर-ओ-तसनीम से वुज़ू करते
यक़ीं जो होता कि होंगे हलाक सिद्क़-ओ-वफ़ा
तो एहतिमाम से मरने की आरज़ू करते
हमें भी रास जो आती शगुफ़्तगी दिल की
तो 'लैस' हम भी कभी जुरअत-ए-नुमू करते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lais Quraishi
our suggestion based on Lais Quraishi
As you were reading Aaina Shayari Shayari