sukoot-e-lab ko mere arz-e-haal hi samjho
meri ana-e-khafi ko sawaal hi samjho
vo roo-b-roo hain mere dil magar ye kehta hai
khayal-e-husn ko husn-e-khayaal hi samjho
rafaqaton ke qareene badalte rahte hain
so karb-e-hijr ko lutf-e-visaal hi samjho
tadap rahe hain jo yun ham sada-e-saaz ke saath
use kuchh aur nahin wajd-o-haal hi samjho
mere hunar ko raha bazm-e-kam-nazar se gurez
use bhi mere hunar ka kamaal hi samjho
hawa-e-subh-e-chaman aur ek baar agar
guzar gai to hamein paayemaal hi samjho
dilon ke zakham chhupe hain lahu ki chadar mein
tumhein garz nahin tum indimaal hi samjho
husool-e-kaif ko may-khaana-e-hayaat mein lais
shikast-e-jaam se pehle muhaal hi samjho
सुकूत-ए-लब को मिरे अर्ज़-ए-हाल ही समझो
मिरी अना-ए-ख़फ़ी को सवाल ही समझो
वो रू-ब-रू हैं मिरे दिल मगर ये कहता है
ख़याल-ए-हुस्न को हुस्न-ए-ख़याल ही समझो
रफ़ाक़तों के क़रीने बदलते रहते हैं
सो कर्ब-ए-हिज्र को लुत्फ़-ए-विसाल ही समझो
तड़प रहे हैं जो यूँ हम सदा-ए-साज़ के साथ
उसे कुछ और नहीं वज्द-ओ-हाल ही समझो
मिरे हुनर को रहा बज़्म-ए-कम-नज़र से गुरेज़
उसे भी मेरे हुनर का कमाल ही समझो
हवा-ए-सुब्ह-ए-चमन और एक बार अगर
गुज़र गई तो हमें पाएमाल ही समझो
दिलों के ज़ख़्म छुपे हैं लहू की चादर में
तुम्हें ग़रज़ नहीं तुम इंदिमाल ही समझो
हुसूल-ए-कैफ़ को मय-ख़ाना-ए-हयात में 'लैस'
शिकस्त-ए-जाम से पहले मुहाल ही समझो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lais Quraishi
our suggestion based on Lais Quraishi
As you were reading Dil Shayari Shayari