kahi se bhi sukhan-e-mo'tabar nahin aata | कहीं से भी सुख़न-ए-मो'तबर नहीं आता

  - Lais Quraishi

kahi se bhi sukhan-e-mo'tabar nahin aata
nazar hamein koi ahl-e-nazar nahin aata

hawaa-e-dasht ye taaseer-e-khud-faramoshi
bahut dinon se tasavvur mein ghar nahin aata

ajab shanaavar-e-bahr-e-wujood hain ham bhi
hamein zamaan-o-makaan ka safar nahin aata

lahu se lafz ki takhleeq ham nahin karte
jabhi to apne bayaan mein asar nahin aata

ye sochte hain ki manzil-rasi se kya haasil
jab apne saath koi hum-safar nahin aata

ye arsa-gaah-e-talab qurbaton ki duniya hai
yahan ham aisa koi be-hunar nahin aata

dariche roz hi khulte hain band hote hain
magar vo chehra-e-rangeen nazar nahin aata

hijaab kaun sa maane hai kuchh nahin ma'aloom
main chahta hoon vo aaye magar nahin aata

tilism-e-teera-shabi lais kis tarah toote
koi bhi le ke payaam-e-sehr nahin aata

कहीं से भी सुख़न-ए-मो'तबर नहीं आता
नज़र हमें कोई अहल-ए-नज़र नहीं आता

हवा-ए-दश्त ये तासीर-ए-ख़ुद-फ़रामोशी
बहुत दिनों से तसव्वुर में घर नहीं आता

अजब शनावर-ए-बहर-ए-वजूद हैं हम भी
हमें ज़मान-ओ-मकाँ का सफ़र नहीं आता

लहू से लफ़्ज़ की तख़्लीक़ हम नहीं करते
जभी तो अपने बयाँ में असर नहीं आता

ये सोचते हैं कि मंज़िल-रसी से क्या हासिल
जब अपने साथ कोई हम-सफ़र नहीं आता

ये अर्सा-गाह-ए-तलब क़ुर्बतों की दुनिया है
यहाँ हम ऐसा कोई बे-हुनर नहीं आता

दरीचे रोज़ ही खुलते हैं बंद होते हैं
मगर वो चेहरा-ए-रंगीं नज़र नहीं आता

हिजाब कौन सा माने' है कुछ नहीं मा'लूम
मैं चाहता हूँ वो आए मगर नहीं आता

तिलिस्म-ए-तीरा-शबी 'लैस' किस तरह टूटे
कोई भी ले के पयाम-ए-सहर नहीं आता

  - Lais Quraishi

Musafir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lais Quraishi

As you were reading Shayari by Lais Quraishi

Similar Writers

our suggestion based on Lais Quraishi

Similar Moods

As you were reading Musafir Shayari Shayari