main ghazal hoon mujhe jab aap suna karte hain | मैं ग़ज़ल हूँ मुझे जब आप सुना करते हैं

  - Lata Haya

main ghazal hoon mujhe jab aap suna karte hain
chand lamhe mera gham baant liya karte hain

jab wafa karte hain ham sirf wafa karte hain
aur jafaa karte hain jab sirf jafaa karte hain

log chaahat ki kitaabon mein chhupa kar chehre
sirf jismoon ki hi tahreer padha karte hain

log nafrat ki fazaaon mein bhi jee lete hain
ham mohabbat ki hawa se bhi dara karte hain

apne bacchon ke liye laakh ghareebi ho magar
maa ke pallu mein kai sikke mila karte hain

jo kabhi khush na hue dekh ke shohrat meri
mere apne hain mujhe pyaar kiya karte hain

jin ke jazbaat hoon nuksaan naf'a ki zad mein
un ke dil mein kai bazaar saja karte hain

fikr-o-ehsaas pe parda hai haya ka warna
ham galat baat na sunte na kaha karte hain

मैं ग़ज़ल हूँ मुझे जब आप सुना करते हैं
चंद लम्हे मिरा ग़म बाँट लिया करते हैं

जब वफ़ा करते हैं हम सिर्फ़ वफ़ा करते हैं
और जफ़ा करते हैं जब सिर्फ़ जफ़ा करते हैं

लोग चाहत की किताबों में छुपा कर चेहरे
सिर्फ़ जिस्मों की ही तहरीर पढ़ा करते हैं

लोग नफ़रत की फ़ज़ाओं में भी जी लेते हैं
हम मोहब्बत की हवा से भी डरा करते हैं

अपने बच्चों के लिए लाख ग़रीबी हो मगर
माँ के पल्लू में कई सिक्के मिला करते हैं

जो कभी ख़ुश न हुए देख के शोहरत मेरी
मेरे अपने हैं मुझे प्यार किया करते हैं

जिन के जज़्बात हूँ नुक़सान नफ़अ' की ज़द में
उन के दिल में कई बाज़ार सजा करते हैं

फिक्र-ओ-एहसास पे पर्दा है 'हया' का वर्ना
हम ग़लत बात न सुनते न कहा करते हैं

  - Lata Haya

Wafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lata Haya

As you were reading Shayari by Lata Haya

Similar Writers

our suggestion based on Lata Haya

Similar Moods

As you were reading Wafa Shayari Shayari