har qadam haadse har nafs talkhiyaan
zindagi barq toofaan khizaan aandhiyaan
rafta rafta yahi bojh lagne lagin
kyun badi ho gaeein maa tiri betiyaan
meri duniya tiri zaat mein qaid hai
mujh ko khairaat mein de na aazaadiyaan
teergi khaamoshi bebaasi tishnagi
hijr ki raat mein khaamiyaan khaamiyaan
aap hi aandhiyon se uljhte rahe
main to laai thi daaman mein purvaaiyaan
main kitaabon mein rakhoon ye fitrat nahin
phool sukhe hue be-zabaan titliyan
ye sahifa nahin meri roodaad hai
is ka unwaan hai talkhiyaan talkhiyaan
yaad kya hai koi mujh se pooche haya
ek ehsaas ki chand parchaaiyaan
हर क़दम हादसे हर नफ़्स तल्ख़ियाँ
ज़िंदगी बर्क़ तूफ़ाँ ख़िज़ाँ आँधियाँ
रफ़्ता रफ़्ता यही बोझ लगने लगीं
क्यूँ बड़ी हो गईं माँ तिरी बेटियाँ
मेरी दुनिया तिरी ज़ात में क़ैद है
मुझ को ख़ैरात में दे न आज़ादियाँ
तीरगी ख़ामुशी बेबसी तिश्नगी
हिज्र की रात में ख़ामियाँ ख़ामियाँ
आप ही आंधियों से उलझते रहे
मैं तो लाई थी दामन में पुरवाइयाँ
मैं किताबों में रख्खूँ ये फ़ितरत नहीं
फूल सूखे हुए बे-ज़बाँ तितलियाँ
ये सहीफ़ा नहीं मेरी रूदाद है
इस का उनवान है तल्ख़ियाँ तल्ख़ियाँ
याद क्या है कोई मुझ से पूछे 'हया'
एक एहसास की चंद परछाइयाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lata Haya
our suggestion based on Lata Haya
As you were reading Hijr Shayari Shayari