main ne veeraane ko gulzaar bana rakha hai | मैं ने वीराने को गुलज़ार बना रक्खा है

  - Lata Haya

main ne veeraane ko gulzaar bana rakha hai
kya bura hai jo haqeeqat ko chhupa rakha hai

daur-e-haazir mein koi kaash zameen se pooche
aaj insaan kahaan tu ne chhupa rakha hai

vo to khud-gharzi hai laalach hai havas hai jin ka
naam is daur ke insaan ne wafa rakha hai

vo mere sahan mein barsega kabhi to khul kar
main ne khwaahish ka shajar kab se laga rakha hai

main to mushtaaq hoon aandhi mein bhi udne ke liye
main ne ye shauq ajab dil ko laga rakha hai

main ki aurat hoon meri sharm hai mera zewar
bas takhallus isee bais to haya rakha hai

मैं ने वीराने को गुलज़ार बना रक्खा है
क्या बुरा है जो हक़ीक़त को छुपा रक्खा है

दौर-ए-हाज़िर में कोई काश ज़मीं से पूछे
आज इंसान कहाँ तू ने छुपा रक्खा है

वो तो ख़ुद-ग़र्ज़ी है लालच है हवस है जिन का
नाम इस दौर के इंसाँ ने वफ़ा रक्खा है

वो मिरे सहन में बरसेगा कभी तो खुल कर
मैं ने ख़्वाहिश का शजर कब से लगा रक्खा है

मैं तो मुश्ताक़ हूँ आँधी में भी उड़ने के लिए
मैं ने ये शौक़ अजब दिल को लगा रक्खा है

मैं कि औरत हूँ मिरी शर्म है मेरा ज़ेवर
बस तख़ल्लुस इसी बाइ'स तो 'हया' रक्खा है

  - Lata Haya

Naqab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lata Haya

As you were reading Shayari by Lata Haya

Similar Writers

our suggestion based on Lata Haya

Similar Moods

As you were reading Naqab Shayari Shayari