ho zamaana udhar idhar ham tum | हो ज़माना उधर इधर हम तुम

  - Madhav Jha

ho zamaana udhar idhar ham tum
ek-dooge ke dil-jigar ham tum

dil ki manzil ke hum-safar ham tum
ho ke duniya se be-khabar ham tum

aasmaan se jo dekhe chaand kabhi
chaand ko aaye bas nazar ham tum

vasl ki raat mukhtasar si lagi
rahe baaton mein raat bhar ham tum

aaye koi shikan na chehre par
raaste mein milen agar ham tum

waqti har shay hai is jahaan mein par
ishq ke dehr mein amar ham tum

हो ज़माना उधर इधर हम तुम
एक-दूजे के दिल-जिगर हम तुम

दिल की मंज़िल के हम-सफ़र हम तुम
हो के दुनिया से बे-ख़बर हम तुम

आसमाँ से जो देखे चाँद कभी
चाँद को आए बस नज़र हम तुम

वस्ल की रात मुख़्तसर सी लगी
रहे बातों में रात भर हम तुम

आए कोई शिकन न चेहरे पर
रास्ते में मिलें अगर हम तुम

वक़्ती हर शय है इस जहाँ में पर
इश्क़ के दह्र में अमर हम तुम

  - Madhav Jha

Mulaqat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Madhav Jha

As you were reading Shayari by Madhav Jha

Similar Writers

our suggestion based on Madhav Jha

Similar Moods

As you were reading Mulaqat Shayari Shayari