vo jis ke aane hi se bazm raushni se bhar gai | वो जिस के आने ही से बज़्म रौशनी से भर गई

  - Madhav Jha

vo jis ke aane hi se bazm raushni se bhar gai
kahaan se aayi thi yahan vo kaun thi kidhar gai

badan bhale haseen tha magar tu mere vasl se
zara to dekh aaine mein kis qadar nikhar gai

har ek shay hui tabaah har kisi ka dil halaak
jidhar kahi bhi ek dafa husn ki nazar gai

main faailon mein is qadar kai dinon se uljha tha
qaza bhi aayi intizaar kar ke thak ke ghar gai

ameer ke bayaanon ko hi maante hain sach sabhi
ye muflisi to dekho mera hi shikaar kar gai

agan badhaana chahta tha hijr ki main jis qadar
udhar bahaar aayi aur vo mera kaam kar gai

वो जिस के आने ही से बज़्म रौशनी से भर गई
कहाँ से आई थी यहाँ वो कौन थी किधर गई

बदन भले हसीन था मगर तू मेरे वस्ल से
ज़रा तो देख आइने में किस क़दर निखर गई

हर एक शय हुई तबाह हर किसी का दिल हलाक
जिधर कहीं भी एक दफ़ा हुस्न की नज़र गई

मैं फ़ाइलों में इस क़दर कई दिनों से उलझा था
क़ज़ा भी आई इंतिज़ार कर के थक के घर गई

अमीर के बयानों को ही मानते हैं सच सभी
ये मुफ़्लिसी तो देखो मेरा ही शिकार कर गई

अगन बढ़ाना चाहता था हिज्र की मैं जिस क़दर
उधर बहार आई और वो मेरा काम कर गई

  - Madhav Jha

Muflisi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Madhav Jha

As you were reading Shayari by Madhav Jha

Similar Writers

our suggestion based on Madhav Jha

Similar Moods

As you were reading Muflisi Shayari Shayari