bahut ladte ho tum
main bhi tunuk-taabi mein
khaasi fard hoon
so khoob jamti hai bahm apni
main mushkil raaston ki gard
palkon par sambhaale aayi hoon
tum tak
mere nazdeek ke har mantqe mein
tum bhi
apne baalon ki chaandi pe itraate
paraaganda mizaaji mein gundhe
ukhde hue taaron ki
pagdandi ke
dil mein ghoomte ho
mohabbat ki bhadak
lafzon mein kam
aankhon ki halchal mein
ziyaada le ke phirti hoon
mere nokiile lehje ki
chubhan ke us taraf dil ki
bahut hi reshmi had tak
tumhaari aankh jaati hai
ta'alluq mein rawadaari ka nam
jaane kahaan se aata hai
aur aa ke ham dono ki
aawezish ki sab
munh-zoriyaan zanjeer karta hai
suno sab guftugoo ke silsile
meri tumhaari khaamoshi ki
bheeg se sarsabz rahte hain
meri nazmon ka markaz
aaj ke pal ki
sajal duniya mein bas tum ho
tumhi se barsar-e-paikaar hoon
aur be-tahaasha multafit bhi
tum taaruz ke gudaazon mein
mujhe dekho
main apne dil ke tausan ko
bahut sarpat bhagaati
khaak ke toofaan jagati
jis gulistaan ki tamannaa ki
dagar par ja rahi hoon
us ki had par tum
us ki had par tum
kahi ik ped ke pahluu mein
dil ban kar dhadakte ho
kahi fitrat ke
pech-o-taab mein zanjeer ho
aur dhoop ki yalghaar mein
mere liye chaanv ka
ik na-mukhtatim ehsaas bante ho
bahut hi door se bas
tum hi mujh ko saaf sunte ho
बहुत लड़ते हो तुम
मैं भी तुनुक-ताबी में
ख़ासी फ़र्द हूँ
सो ख़ूब जमती है बहम अपनी
मैं मुश्किल रास्तों की गर्द
पलकों पर सँभाले आई हूँ
तुम तक
मिरे नज़दीक के हर मंतक़े में
तुम भी
अपने बालों की चाँदी पे इतराते
परागंदा मिज़ाजी में गुँधे
उखड़े हुए तारों की
पगडंडी के
दिल में घूमते हो
मोहब्बत की भड़क
लफ़्ज़ों में कम
आँखों की हलचल में
ज़ियादा ले के फिरती हूँ
मिरे नोकीले लहजे की
चुभन के उस तरफ़ दिल की
बहुत ही रेशमी हद तक
तुम्हारी आँख जाती है
तअ'ल्लुक़ में रवादारी का नम
जाने कहाँ से आता है
और आ के हम दोनों की
आवेज़िश की सब
मुँह-ज़ोरियाँ ज़ंजीर करता है
सुनो सब गुफ़्तुगू के सिलसिले
मेरी तुम्हारी ख़ामुशी की
भीग से सरसब्ज़ रहते हैं
मिरी नज़्मों का मरकज़
आज के पल की
सजल दुनिया में बस तुम हो
तुम्ही से बरसर-ए-पैकार हूँ
और बे-तहाशा मुल्तफ़ित भी
तुम तआरुज़ के गुदाज़ों में
मुझे देखो
मैं अपने दिल के तौसन को
बहुत सरपट भगाती
ख़ाक के तूफ़ाँ जगाती
जिस गुलिस्ताँ की तमन्ना की
डगर पर जा रही हूँ
उस की हद पर तुम
उस की हद पर तुम
कहीं इक पेड़ के पहलू में
दिल बन कर धड़कते हो
कहीं फ़ितरत के
पेच-ओ-ताब में ज़ंजीर हो
और धूप की यलग़ार में
मेरे लिए छाँव का
इक ना-मुख़्ततिम एहसास बनते हो
बहुत ही दूर से बस
तुम ही मुझ को साफ़ सुनते हो
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Mahnaz Anjum
As you were reading Love Shayari Shayari