kabhi bhi sang se aansu nikaal sakte ho | कभी भी संग से आँसू निकाल सकते हो

  - Meena Bhatt

kabhi bhi sang se aansu nikaal sakte ho
ada-e-husn se jaadu nikaal sakte ho

chadhaava khoob chadhate ho tum to mandir mein
gareebon ke liye kaajoo nikaal sakte ho

hamesha chalti siyaasat nayi nayi chaalein
kabhi iraadon pe jhaadoo nikaal sakte ho

kahaan hai aata paseena bhi in ameeron ko
ki tan se unke bhi khushboo nikaal sakte ho

dara ke rakha hai haiwaan ban ke ghoomen nit
ki unki jeb ke chaakoo nikaal sakte ho

karein hain roz muhabbat mein jo naya sauda
dilon se unke taraazu nikaal sakte ho

bhale ho laakh sitam hai magar nahin mumkin
mere mizaj se sadhu nikaal sakte ho

कभी भी संग से आँसू निकाल सकते हो
अदा-ए-हुस्न से जादू निकाल सकते हो

चढ़ावा ख़ूब चढाते हो तुम तो मंदिर में
ग़रीबों के लिए काजू निकाल सकते हो

हमेशा चलती सियासत नयी -नयी चालें
कभी इरादों पे झाड़ू निकाल सकते हो

कहाँ है आता पसीना भी इन अमीरों को
कि तन से उनके भी ख़ुशबू निकाल सकते हो

डरा के रक्खा है हैवान बन के घूमें नित
कि उनकी जेब के चाक़ू निकाल सकते हो

करें हैं रोज़ मुहब्बत में जो नया सौदा
दिलों से उनके तराज़ू निकाल सकते हो

भले हो लाख सितम है मगर नहीं मुमकिन
मेरे मिज़ाज से साधू निकाल सकते हो

  - Meena Bhatt

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari