aaye hain meer kaafir ho kar khuda ke ghar mein
peshaani par hai qashka zunnar hai kamar mein
naazuk badan hai kitna vo shokh-chashm dilbar
jaan us ke tan ke aage aati nahin nazar mein
seene mein teer us ke toote hain be-nihaayat
suraakh pad gaye hain saare mere jigar mein
aainda shaam ko ham roya kudha karenge
mutlaq asar na dekha naalidan-e-sehar mein
be-sudh pada rahoon hoon us mast-e-naaz bin main
aata hai hosh mujh ko ab to pahar pahar mein
seerat se guftugoo hai kya mo'tabar hai soorat
hai ek sookhi lakdi jo boo na ho agar mein
ham-saaya-e-mughaan mein muddat se hoon chunaanche
ik sheera-khaane ki hai deewaar mere ghar mein
ab subh o shaam shaayad girye pe rang aave
rehta hai kuchh jhamkata khoonaab chashm-e-tar mein
aalam mein aab-o-gil ke kyunkar nibaah hoga
asbaab gir pada hai saara mera safar mein
आए हैं 'मीर' काफ़िर हो कर ख़ुदा के घर में
पेशानी पर है क़श्क़ा ज़ुन्नार है कमर में
नाज़ुक बदन है कितना वो शोख़-चश्म दिलबर
जान उस के तन के आगे आती नहीं नज़र में
सीने में तीर उस के टूटे हैं बे-निहायत
सुराख़ पड़ गए हैं सारे मिरे जिगर में
आइंदा शाम को हम रोया कुढ़ा करेंगे
मुतलक़ असर न देखा नालीदन-ए-सहर में
बे-सुध पड़ा रहूँ हूँ उस मस्त-ए-नाज़ बिन मैं
आता है होश मुझ को अब तो पहर पहर में
सीरत से गुफ़्तुगू है क्या मो'तबर है सूरत
है एक सूखी लकड़ी जो बू न हो अगर में
हम-साया-ए-मुग़ाँ में मुद्दत से हूँ चुनाँचे
इक शीरा-ख़ाने की है दीवार मेरे घर में
अब सुब्ह ओ शाम शायद गिर्ये पे रंग आवे
रहता है कुछ झमकता ख़ूनाब चश्म-ए-तर में
आलम में आब-ओ-गिल के क्यूँकर निबाह होगा
अस्बाब गिर पड़ा है सारा मिरा सफ़र में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Nigaah Shayari Shayari