guzra bana-e-charkh se naala paagaah ka | गुज़रा बना-ए-चर्ख़ से नाला पगाह का

  - Meer Taqi Meer

guzra bana-e-charkh se naala paagaah ka
khaana-kharaab ho jiyo is dil ki chaah ka

aankhon mein jee mera hai udhar dekhta nahin
marta hoon mein to haaye re sarfa nigaah ka

sad khaanumaan-kharaab hain har har qadam pe dafn
kushta hoon yaar main to tire ghar ki raah ka

yak qatra khoon ho ke palak se tapak pada
qissa ye kuchh hua dil ghafraan-panaah ka

talwaar maarna to tumhein khel hai wale
jaata rahe na jaan kaso be-gunaah ka

bad-naam-o-khaar-o-zaar-o-nazar-o-shikasta-haal
ahvaal kuchh na poochiye us roo-siyaah ka

zalim zameen se lautaa daaman utha ke chal
hoga kameen mein haath kaso daad-khwaah ka

ai taaj-e-shah na sar ko farw laaun tere paas
hai mo'taqid faqeer namd ki kulaah ka

har lakht-e-dil mein said ke paikaan bhi gaye
dekha main shokh thaath tiri said-e-gaah ka

beemaar tu na hove jiye jab talak ki meer
sone na dega shor tiri aah aah ka

गुज़रा बना-ए-चर्ख़ से नाला पगाह का
ख़ाना-ख़राब हो जियो इस दिल की चाह का

आँखों में जी मिरा है उधर देखता नहीं
मरता हूँ में तो हाए रे सर्फ़ा निगाह का

सद ख़ानुमाँ-ख़राब हैं हर हर क़दम पे दफ़न
कुश्ता हूँ यार मैं तो तिरे घर की राह का

यक क़तरा ख़ून हो के पलक से टपक पड़ा
क़िस्सा ये कुछ हुआ दिल ग़फ़राँ-पनाह का

तलवार मारना तो तुम्हें खेल है वले
जाता रहे न जान कसो बे-गुनाह का

बद-नाम-ओ-ख़ार-ओ-ज़ार-ओ-नज़ार-ओ-शिकस्ता-हाल
अहवाल कुछ न पोछिए उस रू-सियाह का

ज़ालिम ज़मीं से लौटता दामन उठा के चल
होगा कमीं में हाथ कसो दाद-ख़्वाह का

ऐ ताज-ए-शह न सर को फ़रव लाऊँ तेरे पास
है मो'तक़िद फ़क़ीर नमद की कुलाह का

हर लख़्त-ए-दिल में सैद के पैकान भी गए
देखा मैं शोख़ ठाठ तिरी सैद-ए-गाह का

बीमार तू न होवे जिए जब तलक कि 'मीर'
सोने न देगा शोर तिरी आह आह का

  - Meer Taqi Meer

Khoon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Khoon Shayari Shayari