baagh pa kar khafqaani ye daraata hai mujhe | बाग़ पा कर ख़फ़क़ानी ये डराता है मुझे - Mirza Ghalib

baagh pa kar khafqaani ye daraata hai mujhe
saaya-e-shaakh-e-gul afei nazar aata hai mujhe

jouhar-e-tegh ba-sar-chashm-e-deegar maaloom
hoon main vo sabza ki zehraab ugaata hai mujhe

muddaa mahv-e-tamaasha-e-shikast-e-dil hai
aaina-khaana mein koi liye jaata hai mujhe

naala sarmaaya-e-yak-aalam o aalam kaf-e-khaak
aasmaan baiza-e-qumri nazar aata hai mujhe

zindagi mein to vo mehfil se utha dete the
dekhoon ab mar gaye par kaun uthaata hai mujhe

baagh tujh bin gul-e-nargis se daraata hai mujhe
chaahoon gar sair-e-chaman aankh dikhaata hai mujhe

shor-e-timsaal hai kis rask-e-chaman ka ya rab
aaina baiza-e-bulbul nazar aata hai mujhe

hairat-e-aaina anjaam-e-junoon hoon jyuun sham'a
kis qadar daag-e-jigar shola uthaata hai mujhe

main hoon aur hairat-e-jaaved magar zauq-e-khayaal
ba-fusoon-e-nigah-e-naaz sataata hai mujhe

hairat-e-fikr-e-sukhan saaz-e-salaamat hai asad
dil pas-e-zaanoo-e-aaina bithaata hai mujhe

बाग़ पा कर ख़फ़क़ानी ये डराता है मुझे
साया-ए-शाख़-ए-गुल अफ़ई नज़र आता है मुझे

जौहर-ए-तेग़ ब-सर-चश्म-ए-दीगर मालूम
हूँ मैं वो सब्ज़ा कि ज़हराब उगाता है मुझे

मुद्दआ महव-ए-तमाशा-ए-शिकस्त-ए-दिल है
आइना-ख़ाना में कोई लिए जाता है मुझे

नाला सरमाया-ए-यक-आलम ओ आलम कफ़-ए-ख़ाक
आसमाँ बैज़ा-ए-क़ुमरी नज़र आता है मुझे

ज़िंदगी में तो वो महफ़िल से उठा देते थे
देखूँ अब मर गए पर कौन उठाता है मुझे

बाग़ तुझ बिन गुल-ए-नर्गिस से डराता है मुझे
चाहूँ गर सैर-ए-चमन आँख दिखाता है मुझे

शोर-ए-तिम्साल है किस रश्क-ए-चमन का या रब
आइना बैज़ा-ए-बुलबुल नज़र आता है मुझे

हैरत-ए-आइना अंजाम-ए-जुनूँ हूँ ज्यूँ शम्अ
किस क़दर दाग़-ए-जिगर शोला उठाता है मुझे

मैं हूँ और हैरत-ए-जावेद मगर ज़ौक़-ए-ख़याल
ब-फ़ुसून-ए-निगह-ए-नाज़ सताता है मुझे

हैरत-ए-फ़िक्र-ए-सुख़न साज़-ए-सलामत है 'असद'
दिल पस-ए-ज़ानू-ए-आईना बिठाता है मुझे

- Mirza Ghalib
0 Likes

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari