dekhna qismat ki aap apne pe rashk aa jaaye hai | देखना क़िस्मत कि आप अपने पे रश्क आ जाए है

  - Mirza Ghalib

dekhna qismat ki aap apne pe rashk aa jaaye hai
main use dekhoon bhala kab mujh se dekha jaaye hai

haath dho dil se yahi garmi gar andeshe mein hai
aabgeena tundi-e-sahba se pighla jaaye hai

gair ko ya rab vo kyunkar man-e-gustaakhi kare
gar haya bhi us ko aati hai to sharmaa jaaye hai

shauq ko ye lat ki har dam naala kheeche jaaie
dil ki vo haalat ki dam lene se ghabra jaaye hai

door chashm-e-bad tiri bazm-e-tarab se waah waah
naghma ho jaata hai waan gar naala mera jaaye hai

garche hai tarz-e-taghaful parda-daar-e-raaz-e-ishq
par ham aise khoye jaate hain ki vo pa jaaye hai

us ki bazm-aaraaiyaan sun kar dil-e-ranjoor yaa
misl-e-naqsh-e-mudda-e-ghair baitha jaaye hai

ho ke aashiq vo paree-rukh aur naazuk ban gaya
rang khulta jaaye hai jitna ki udta jaaye hai

naqsh ko us ke musavvir par bhi kya kya naaz hain
kheenchta hai jis qadar utna hi khinchta jaaye hai

saaya mera mujh se misl-e-dood bhaage hai asad
paas mujh aatish-b-jaan ke kis se thehra jaaye hai

देखना क़िस्मत कि आप अपने पे रश्क आ जाए है
मैं उसे देखूँ भला कब मुझ से देखा जाए है

हाथ धो दिल से यही गर्मी गर अंदेशे में है
आबगीना तुन्दि-ए-सहबा से पिघला जाए है

ग़ैर को या रब वो क्यूँकर मन-ए-गुस्ताख़ी करे
गर हया भी उस को आती है तो शरमा जाए है

शौक़ को ये लत कि हर दम नाला खींचे जाइए
दिल की वो हालत कि दम लेने से घबरा जाए है

दूर चश्म-ए-बद तिरी बज़्म-ए-तरब से वाह वाह
नग़्मा हो जाता है वाँ गर नाला मेरा जाए है

गरचे है तर्ज़-ए-तग़ाफ़ुल पर्दा-दार-ए-राज़-ए-इश्क़
पर हम ऐसे खोए जाते हैं कि वो पा जाए है

उस की बज़्म-आराइयाँ सुन कर दिल-ए-रंजूर याँ
मिस्ल-ए-नक़्श-ए-मुद्दआ-ए-ग़ैर बैठा जाए है

हो के आशिक़ वो परी-रुख़ और नाज़ुक बन गया
रंग खुलता जाए है जितना कि उड़ता जाए है

नक़्श को उस के मुसव्विर पर भी क्या क्या नाज़ हैं
खींचता है जिस क़दर उतना ही खिंचता जाए है

साया मेरा मुझ से मिस्ल-ए-दूद भागे है 'असद'
पास मुझ आतिश-ब-जाँ के किस से ठहरा जाए है

  - Mirza Ghalib

Naqab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Naqab Shayari Shayari