gar khaamoshi se faaeda ikhfaa-e-haal hai
khush hoon ki meri baat samajhni muhaal hai
kis ko sunaau hasrat-e-izhaar ka gila
dil fard-e-jamaa-o-kharch zabaan-ha-e-laal hai
kis parde mein hai aaina-pardaaz ai khuda
rahmat ki uzr-khwaah-e-lab-e-be-sawaal hai
hai hai khuda-n-khwasta vo aur dushmani
ai shauq-e-munfail ye tujhe kya khayal hai
mushkeen libaas-e-kaaba ali ke qadam se jaan
naaf-e-zameen hai na ki naaf-e-ghazaal hai
vehshat pe meri arsa-e-aafaq tang tha
dariya zameen ko araq-e-infi'aal hai
hasti ke mat fareb mein aa jaaiyo asad
aalam tamaam halka-e-daam-e-khayaal hai
pahlu-tahi na kar gham-o-andoh se asad
dil waqf-e-dard kar ki faqeeron ka maal hai
गर ख़ामुशी से फ़ाएदा इख़्फ़ा-ए-हाल है
ख़ुश हूँ कि मेरी बात समझनी मुहाल है
किस को सुनाऊँ हसरत-ए-इज़हार का गिला
दिल फ़र्द-ए-जमा-ओ-ख़र्च ज़बाँ-हा-ए-लाल है
किस पर्दे में है आइना-पर्दाज़ ऐ ख़ुदा
रहमत कि उज़्र-ख़्वाह-ए-लब-ए-बे-सवाल है
है है ख़ुदा-न-ख़्वास्ता वो और दुश्मनी
ऐ शौक़-ए-मुन्फ़इल ये तुझे क्या ख़याल है
मुश्कीं लिबास-ए-काबा अली के क़दम से जान
नाफ़-ए-ज़मीन है न कि नाफ़-ए-ग़ज़ाल है
वहशत पे मेरी अरसा-ए-आफ़ाक़ तंग था
दरिया ज़मीन को अरक़-ए-इंफ़िआ'ल है
हस्ती के मत फ़रेब में आ जाइयो 'असद'
आलम तमाम हल्क़ा-ए-दाम-ए-ख़याल है
पहलू-तही न कर ग़म-ओ-अंदोह से 'असद'
दिल वक़्फ़-ए-दर्द कर कि फ़क़ीरों का माल है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Yaad Shayari Shayari