ishq mujh ko nahin vehshat hi sahi | इश्क़ मुझ को नहीं वहशत ही सही

  - Mirza Ghalib

ishq mujh ko nahin vehshat hi sahi
meri vehshat tiri shohrat hi sahi

qat'a kijeye na taalluq ham se
kuchh nahin hai to adavat hi sahi

mere hone mein hai kya ruswaai
ai vo majlis nahin khilwat hi sahi

ham bhi dushman to nahin hain apne
gair ko tujh se mohabbat hi sahi

apni hasti hi se ho jo kuchh ho
aagahi gar nahin ghaflat hi sahi

umr har-chand ki hai barq-e-khiraam
dil ke khun karne ki furqat hi sahi

ham koi tark-e-wafa karte hain
na sahi ishq museebat hi sahi

kuchh to de ai falak-e-na-insaaf
aah o fariyaad ki ruksat hi sahi

ham bhi tasleem ki khoo daalenge
be-niyaazi tiri aadat hi sahi

yaar se chhed chali jaaye asad
gar nahin vasl to hasrat hi sahi

इश्क़ मुझ को नहीं वहशत ही सही
मेरी वहशत तिरी शोहरत ही सही

क़त्अ कीजे न तअल्लुक़ हम से
कुछ नहीं है तो अदावत ही सही

मेरे होने में है क्या रुस्वाई
ऐ वो मज्लिस नहीं ख़ल्वत ही सही

हम भी दुश्मन तो नहीं हैं अपने
ग़ैर को तुझ से मोहब्बत ही सही

अपनी हस्ती ही से हो जो कुछ हो
आगही गर नहीं ग़फ़लत ही सही

उम्र हर-चंद कि है बर्क़-ए-ख़िराम
दिल के ख़ूँ करने की फ़ुर्सत ही सही

हम कोई तर्क-ए-वफ़ा करते हैं
न सही इश्क़ मुसीबत ही सही

कुछ तो दे ऐ फ़लक-ए-ना-इंसाफ़
आह ओ फ़रियाद की रुख़्सत ही सही

हम भी तस्लीम की ख़ू डालेंगे
बे-नियाज़ी तिरी आदत ही सही

यार से छेड़ चली जाए 'असद'
गर नहीं वस्ल तो हसरत ही सही

  - Mirza Ghalib

Greed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Greed Shayari Shayari