laazim tha ki dekho mera rasta koi din aur
tanhaa gaye kyun ab raho tanhaa koi din aur
mit jaayega sar gar tira patthar na ghiseiga
hoon dar pe tire naasiya-farsa koi din aur
aaye ho kal aur aaj hi kahte ho ki jaaun
maana ki hamesha nahin achha koi din aur
jaate hue kahte ho qayamat ko milenge
kya khoob qayamat ka hai goya koi din aur
haan ai falak-e-peer jawaan tha abhi aarif
kya tera bigadta jo na marta koi din aur
tum maah-e-shab-e-chaar-dahum the mere ghar ke
phir kyun na raha ghar ka vo naqsha koi din aur
tum kaun se the aise khare daad-o-sitad ke
karta malak-ul-maut taqaza koi din aur
mujh se tumhein nafrat sahi nayyar se ladai
bacchon ka bhi dekha na tamasha koi din aur
guzri na b-har-haal ye muddat khush o na-khush
karna tha jawaan-marg guzaara koi din aur
naadaan ho jo kahte ho ki kyun jeete hain ghalib
qismat mein hai marne ki tamannaa koi din aur
लाज़िम था कि देखो मिरा रस्ता कोई दिन और
तन्हा गए क्यूँ अब रहो तन्हा कोई दिन और
मिट जाएगा सर गर तिरा पत्थर न घिसेगा
हूँ दर पे तिरे नासिया-फ़रसा कोई दिन और
आए हो कल और आज ही कहते हो कि जाऊँ
माना कि हमेशा नहीं अच्छा कोई दिन और
जाते हुए कहते हो क़यामत को मिलेंगे
क्या ख़ूब क़यामत का है गोया कोई दिन और
हाँ ऐ फ़लक-ए-पीर जवाँ था अभी आरिफ़
क्या तेरा बिगड़ता जो न मरता कोई दिन और
तुम माह-ए-शब-ए-चार-दहुम थे मिरे घर के
फिर क्यूँ न रहा घर का वो नक़्शा कोई दिन और
तुम कौन से थे ऐसे खरे दाद-ओ-सितद के
करता मलक-उल-मौत तक़ाज़ा कोई दिन और
मुझ से तुम्हें नफ़रत सही नय्यर से लड़ाई
बच्चों का भी देखा न तमाशा कोई दिन और
गुज़री न ब-हर-हाल ये मुद्दत ख़ुश ओ ना-ख़ुश
करना था जवाँ-मर्ग गुज़ारा कोई दिन और
नादाँ हो जो कहते हो कि क्यूँ जीते हैं 'ग़ालिब'
क़िस्मत में है मरने की तमन्ना कोई दिन और
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Dar Shayari Shayari