tere tausan ko saba baandhte hain
ham bhi mazmoon ki hawa baandhte hain
aah ka kis ne asar dekha hai
ham bhi ek apni hawa baandhte hain
teri furqat ke muqaabil ai umr
barq ko pa-b-hina baandhte hain
qaid-e-hasti se rihaai ma'aloom
ashk ko be-sar-o-pa baandhte hain
nashsha-e-rang se hai waashud-e-gul
mast kab band-e-qaba baandhte hain
ghalati-ha-e-mazaameen mat pooch
log naale ko rasaa baandhte hain
ahl-e-tadbir ki wamaandagiyaan
aabloon par bhi hina baandhte hain
saada purkaar hain khooban ghalib
ham se paimaan-e-wafa baandhte hain
paanv mein jab vo hina baandhte hain
mere haathon ko juda baandhte hain
husn-e-afsurdah-dil-ha-rangeen
shauq ko pa-b-hina baandhte hain
qaid mein bhi hai aseeri azaad
chashm-e-zanjeer ko vaa baandhte hain
shaikh-ji ka'be ka jaana ma'aloom
aap masjid mein gadha baandhte hain
kis ka dil zulf se bhaaga ki asad
dast-e-shaana b-qaza baandhte hain
tere beemaar pe hain fariyaadi
vo jo kaaghaz mein dava baandhte hain
तेरे तौसन को सबा बाँधते हैं
हम भी मज़मूँ की हवा बाँधते हैं
आह का किस ने असर देखा है
हम भी एक अपनी हवा बाँधते हैं
तेरी फ़ुर्सत के मुक़ाबिल ऐ उम्र
बर्क़ को पा-ब-हिना बाँधते हैं
क़ैद-ए-हस्ती से रिहाई मा'लूम
अश्क को बे-सर-ओ-पा बाँधते हैं
नश्शा-ए-रंग से है वाशुद-ए-गुल
मस्त कब बंद-ए-क़बा बाँधते हैं
ग़लती-हा-ए-मज़ामीं मत पूछ
लोग नाले को रसा बाँधते हैं
अहल-ए-तदबीर की वामांदगियाँ
आबलों पर भी हिना बाँधते हैं
सादा पुरकार हैं ख़ूबाँ 'ग़ालिब'
हम से पैमान-ए-वफ़ा बाँधते हैं
पाँव में जब वो हिना बाँधते हैं
मेरे हाथों को जुदा बाँधते हैं
हुस्न-ए-अफ़्सुर्दा-दिल-हा-रंगीं
शौक़ को पा-ब-हिना बाँधते हैं
क़ैद में भी है असीरी आज़ाद
चश्म-ए-ज़ंजीर को वा बाँधते हैं
शैख़-जी का'बे का जाना मा'लूम
आप मस्जिद में गधा बाँधते हैं
किस का दिल ज़ुल्फ़ से भागा कि 'असद'
दस्त-ए-शाना ब-क़ज़ा बाँधते हैं
तेरे बीमार पे हैं फ़रियादी
वो जो काग़ज़ में दवा बाँधते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Aazaadi Shayari Shayari