chup hoon par bol bhi saktaa hoon
lab ye main khol bhi saktaa hoon
chahe to aazma lo mujhe
zahar main ghol bhi saktaa hoon
raaste dekhe hain saare par
dard main mol bhi saktaa hoon
hai hunar saare aate mujhe
zakhm ko tol bhi saktaa hoon
चुप हूँ पर बोल भी सकता हूँ
लब ये मैं खोल भी सकता हूँ
चाहे तो आज़मा लो मुझे
ज़हर मैं घोल भी सकता हूँ
रास्ते देखे हैं सारे पर
दर्द मैं मोल भी सकता हूँ
है हुनर सारे आते मुझे
ज़ख़्म को तोल भी सकता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading Raasta Shayari Shayari