jisne chheena mera thikaana hai
uske dil mein hi ghar banaana hai
jitna rona tha raat bhar roya
din mein hansna hai muskurana hai
laakh gir jaaye bijliyaan khud par
phir bhi khush hoon yahi bataana hai
uske bacche bhi hone waale hain
mujhko bhi ghar mera basaana hai
thi muhabbat vo chaar din ki hi
ab jamaane ko bhool jaana hai
जिसने छीना मिरा ठिकाना है
उसके दिल में ही घर बनाना है
जितना रोना था रात भर रोया
दिन में हँसना है मुस्कुराना है
लाख़ गिर जाए बिजलियाँ खुद पर
फिर भी खुश हूं यही बताना है
उसके बच्चे भी होने वाले हैं
मुझको भी घर मिरा बसाना है
थी मुहब्बत वो चार दिन की ही
अब जमाने को भूल जाना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Murari Mandal
our suggestion based on Murari Mandal
As you were reading Bekhabri Shayari Shayari