bas jibillat se hi lagta hoon darinda jaise | बस जिबिल्लत से ही लगता हूँ दरिंदा जैसे

  - Nadeem Asghar

bas jibillat se hi lagta hoon darinda jaise
rizq karta hoon ikattha main parinda jaise

yun to main ek zamaane se tha murda yaaram
tum ko dekha hai to lagta hoon main zinda jaise

tere kooche mein liye aas khada hoon main yun
koi daftar mein ho darkhwaast-dahinda jaise

aise afsos liye dekh rahe hain saare
main koi shehar hoon barbaad kuninda jaise

apne hisse ka ujaala to karunga im-shab
udta firta hoon nadeem aaj khazinda jaise

बस जिबिल्लत से ही लगता हूँ दरिंदा जैसे
रिज़्क़ करता हूँ इकट्ठा मैं परिंदा जैसे

यूँ तो मैं एक ज़माने से था मुर्दा यारम
तुम को देखा है तो लगता हूँ मैं ज़िंदा जैसे

तेरे कूचे में लिए आस खड़ा हूँ मैं यूँ
कोई दफ़्तर में हो दरख़्वास्त-दहिन्दा जैसे

ऐसे अफ़्सोस लिए देख रहे हैं सारे
मैं कोई शहर हूँ बर्बाद कुनिन्दा जैसे

अपने हिस्से का उजाला तो करूँगा इम-शब
उड़ता फिरता हूँ 'नदीम' आज ख़ज़िंदा जैसे

  - Nadeem Asghar

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem Asghar

As you were reading Shayari by Nadeem Asghar

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem Asghar

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari