tu samajhta hai gar fuzool mujhe
kar ke himmat zara sa bhool mujhe
ek shaffaaf aaina tha main
raaste ne kiya hai dhool mujhe
chor raaste ke saahib-e-deewaan
ankhdhiyaan khol kar qubool mujhe
main zamaane pe tera qarza hoon
kab karega bhala vasool mujhe
तू समझता है गर फ़ुज़ूल मुझे
कर के हिम्मत ज़रा सा भूल मुझे
एक शफ़्फ़ाफ़ आईना था मैं
रास्ते ने किया है धूल मुझे
चोर रस्ते के साहिब-ए-दीवाँ
अँखड़ियाँ खोल कर क़ुबूल मुझे
मैं ज़माने पे तेरा क़र्ज़ा हूँ
कब करेगा भला वसूल मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadeem Gullani
our suggestion based on Nadeem Gullani
As you were reading Ummeed Shayari Shayari