tumhein hamaari mohabbaton ke haseen jazbe bula rahe hain | तुम्हें हमारी मोहब्बतों के हसीन जज़्बे बुला रहे हैं

  - Nadeem Gullani

tumhein hamaari mohabbaton ke haseen jazbe bula rahe hain
jo ham ne likkhe the tum pe hamdam vo saare nagme bula rahe hain

wahan tumhaare bhi bachpanon ki haseen yaadein hain dafn yaaro
khuda gawaah hai watan mein tum ko tumhaare qasbe bula rahe hain

jo haq ghareebon ka kha rahe ho to yaad rakhna ai hukmraano
kahi pe tum ko bhi zulmato_n ke sulagte raqbe bula rahe hain

hamaare lehje ki larzishon se samajh sako to samajh bhi jaao
tumhaare gham se lage jo dil pe vo saare tamge bula rahe hain

yaqeen jaano tumhaare jaane ke b'ad koi racha na mazhab
tumhaari tasbeeh tumhaare sajde tumhaare kalme bula rahe hain

nadeem daanishwaron ki mehfil kabhi na kuchh bhi ata karegi
chalo ki jaani-pura jahaan pe vo yaar kamle bula rahe hain

तुम्हें हमारी मोहब्बतों के हसीन जज़्बे बुला रहे हैं
जो हम ने लिक्खे थे तुम पे हमदम वो सारे नग़्मे बुला रहे हैं

वहाँ तुम्हारे भी बचपनों की हसीन यादें हैं दफ़्न यारो
ख़ुदा गवाह है वतन में तुम को तुम्हारे क़स्बे बुला रहे हैं

जो हक़ ग़रीबों का खा रहे हो तो याद रखना ऐ हुक्मरानो
कहीं पे तुम को भी ज़ुल्मतों के सुलगते रक़्बे बुला रहे हैं

हमारे लहजे की लरज़िशों से समझ सको तो समझ भी जाओ
तुम्हारे ग़म से लगे जो दिल पे वो सारे तम्ग़े बुला रहे हैं

यक़ीन जानो तुम्हारे जाने के ब'अद कोई रचा न मज़हब
तुम्हारी तस्बीह तुम्हारे सज्दे तुम्हारे कलमे बुला रहे हैं

'नदीम' दानिशवरों की महफ़िल कभी न कुछ भी अता करेगी
चलो कि ''जानी-पुरा' जहाँ पे वो यार कमले बुला रहे हैं

  - Nadeem Gullani

Aitbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem Gullani

As you were reading Shayari by Nadeem Gullani

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem Gullani

Similar Moods

As you were reading Aitbaar Shayari Shayari