vasl ne jab meri takhleeq ko zanjeer kya
hijr kehne laga main saath hoon tu likhta ja
tujh se main jang ka elaan bhi kar hi doonga
mere dushman tu mere qad ke barabar to aa
mujh se naadaan ki kitaaben na samajh paaye hain
tu samajhta hai ye samjhenge sahife ai khuda
doob kar dard ke dariya mein ai mere hamdam
tujh ko kaise main bataaun ki main ne kya paaya
ashk baahar to ravaan aankh se hota hai nadeem
sochta hoon ki ye andar main kahaan se aaya
वस्ल ने जब मिरी तख़्लीक़ को ज़ंजीर क्या
हिज्र कहने लगा मैं साथ हूँ तू लिखता जा
तुझ से मैं जंग का एलान भी कर ही दूँगा
मेरे दुश्मन तू मिरे क़द के बराबर तो आ
मुझ से नादाँ की किताबें न समझ पाए हैं
तू समझता है ये समझेंगे सहीफ़े ऐ ख़ुदा
डूब कर दर्द के दरिया में ऐ मेरे हमदम
तुझ को कैसे मैं बताऊँ कि मैं ने क्या पाया
अश्क बाहर तो रवाँ आँख से होता है नदीम
सोचता हूँ कि ये अंदर मैं कहाँ से आया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadeem Gullani
our suggestion based on Nadeem Gullani
As you were reading Education Shayari Shayari