arsa-e-khwaab se uth halka-e-ta'beer mein aa
gum-shuda ro'b-e-junoon kaasa-e-tashheer mein aa
intiha mabda-e-hasti ki fana hai ya baqa
ghaur se dekhte hain bakht ki tasveer mein aa
ai kharaabaat-e-tanaffur ke pareshaan makeen
gar sukoon chahta hai ishq ki ta'aamir mein aa
hiddat-e-deed nigaahon ki ibaarat se nikal
aur yakh-basta mere rauzan-e-tahreer mein aa
chadh ke phir sar pe mere bole aseeri ka khumaar
qaid kar le mujhe phir zulf ki zanjeer mein aa
ahad-e-maazi ke khush-aaind bhatkte lamhe
waqt aa pahuncha hai ab haal ki jaageer mein aa
jal-bujhe garmi-e-anfaas se dono ka vujood
gholne khud ko mere qurb ki taaseer mein aa
lazzat-e-wasl ko haasil ho zameen ki jannat
mujh se milne ke liye vaadi-e-kashmir mein aa
zer-e-paa rakh ke sabhi aks-e-fusoon-e-taqdeer
phir jawaan hone ko gahwaara-e-tadbeer mein aa
ai khizaan-zaad. agar chahta hai rizq-e-bahaar
daaman-e-zeest liye rozā-e-shabbīr mein aa
aajizi kehne lagi gar ho bulandi ki talab
dil jhuka daira-e-naa'ra-e-takbīr mein aa
diya ugte hue suraj ne ye paighaam nadeem
in andheron se nikal khema-e-tanvīr mein aa
अरसा-ए-ख़्वाब से उठ हल्क़ा-ए-ता'बीर में आ
गुम-शुदा रो'ब-ए-जुनूँ कासा-ए-तश्हीर में आ
इंतिहा मब्दा-ए-हस्ती की फ़ना है या बक़ा
ग़ौर से देखते हैं बख़्त की तस्वीर में आ
ऐ ख़राबात-ए-तनफ़्फ़ुर के परेशान मकीं
गर सुकूँ चाहता है इश्क़ की ता'मीर में आ
हिद्दत-ए-दीद निगाहों की इबारत से निकल
और यख़-बस्ता मिरे रौज़न-ए-तहरीर में आ
चढ़ के फिर सर पे मिरे बोले असीरी का ख़ुमार
क़ैद कर ले मुझे फिर ज़ुल्फ़ की ज़ंजीर में आ
अहद-ए-माज़ी के ख़ुश-आइंद भटकते लम्हे
वक़्त आ पहूँचा है अब हाल की जागीर में आ
जल-बुझे गर्मी-ए-अनफ़ास से दोनों का वजूद
घोलने ख़ुद को मिरे क़ुर्ब की तासीर में आ
लज़्ज़त-ए-वस्ल को हासिल हो ज़मीं की जन्नत
मुझ से मिलने के लिए वादी-ए-कश्मीर में आ
ज़ेर-ए-पा रख के सभी अक्स-ए-फ़ुसून-ए-तक़दीर
फिर जवाँ होने को गहवारा-ए-तदबीर में आ
ऐ ख़िज़ाँ-ज़ाद अगर चाहता है रिज़्क़-ए-बहार
दामन-ए-ज़ीस्त लिए रौज़ा-ए-शब्बीर में आ
आजिज़ी कहने लगी गर हो बुलंदी की तलब
दिल झुका दाइरा-ए-ना'रा-ए-तकबीर में आ
दिया उगते हुए सूरज ने ये पैग़ाम 'नदीम'
इन अँधेरों से निकल ख़ेमा-ए-तनवीर में आ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadeem Sirsivi
our suggestion based on Nadeem Sirsivi
As you were reading Qismat Shayari Shayari