saraab-e-dil se musalsal fareb kha raha hoon | सराब-ए-दिल से मुसलसल फ़रेब खा रहा हूँ

  - Nadeem Sirsivi

saraab-e-dil se musalsal fareb kha raha hoon
main ek umr se apne khilaaf ja raha hoon

yaqeen-o-shak ki ajab kaifiyat se hoon do-chaar
bichha raha hoon musalla kabhi utha raha hoon

mera ghuroor hai ye khaak-zaadgi meri
main phir farishto tumhein baat ye bata raha hoon

tilism-e-lafz-o-ma'aani ke fer mein fans kar
b-shakl-e-nazm-o-ghazal khoon-e-dil baha raha hoon

khiyaam-e-ashk mein jhulsi padi hai koi mushk
main apni pyaas ka qissa use suna raha hoon

bhula ke saare taqaze radeef-e-maut ke main
faqat hayaat ka har qaafiya nibha raha hoon

सराब-ए-दिल से मुसलसल फ़रेब खा रहा हूँ
मैं एक उम्र से अपने ख़िलाफ़ जा रहा हूँ

यक़ीन-ओ-शक की अजब कैफ़ियत से हूँ दो-चार
बिछा रहा हूँ मुसल्ला कभी उठा रहा हूँ

मिरा ग़ुरूर है ये ख़ाक-ज़ादगी मेरी
मैं फिर फ़रिश्तो तुम्हें बात ये बता रहा हूँ

तिलिस्म-ए-लफ़्ज़-ओ-मआ'नी के फेर में फँस कर
ब-शक्ल-ए-नज़्म-ओ-ग़ज़ल ख़ून-ए-दिल बहा रहा हूँ

ख़ियाम-ए-अश्क में झुलसी पड़ी है कोई मुश्क
मैं अपनी प्यास का क़िस्सा उसे सुना रहा हूँ

भुला के सारे तक़ाज़े रदीफ़-ए-मौत के मैं
फ़क़त हयात का हर क़ाफ़िया निभा रहा हूँ

  - Nadeem Sirsivi

Khuddari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem Sirsivi

As you were reading Shayari by Nadeem Sirsivi

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem Sirsivi

Similar Moods

As you were reading Khuddari Shayari Shayari