bayaaz-e-kohna mein jiddat bhari tahreer rakhni hai
puraani niyaam mein ya'ni nayi shamsheer rakhni hai
faseel-e-fikr se girta hua misra uthaana hai
sirhaane ab mujhe har dam kitaab-e-'meer rakhni hai
mujhe ta-umr ranj-e-qaid ko mehsoos karna hai
mujhe ta-umr apne paas ye zanjeer rakhni hai
sajaao khwaab koi raat ki be-rang aankhon mein
agar baaki dilon mein khwaahish-e-ta'beer rakhni hai
khudi se be-khudi ki jang hai goya mujhe is pal
muqaabil apne hi apni koi tasveer rakhni hai
hamein apne lahu se dasht ik gulzaar karna hai
hamein ta-hashr zinda azmat-e-takbīr rakhni hai
use duniya ke har gham se mukammal paak to kar lo
agar is dil mein buniyaad-e-gham-e-shabbīr rakhni hai
बयाज़-ए-कोहना में जिद्दत भरी तहरीर रखनी है
पुरानी नियाम में या'नी नई शमशीर रखनी है
फ़सील-ए-फ़िक्र से गिरता हुआ मिस्रा उठाना है
सिरहाने अब मुझे हर दम किताब-ए-'मीर' रखनी है
मुझे ता-उम्र रंज-ए-क़ैद को महसूस करना है
मुझे ता-उम्र अपने पास ये ज़ंजीर रखनी है
सजाओ ख़्वाब कोई रात की बे-रंग आँखों में
अगर बाक़ी दिलों में ख़्वाहिश-ए-ता'बीर रखनी है
ख़ुदी से बे-ख़ुदी की जंग है गोया मुझे इस पल
मुक़ाबिल अपने ही अपनी कोई तस्वीर रखनी है
हमें अपने लहू से दश्त इक गुलज़ार करना है
हमें ता-हश्र ज़िंदा अज़्मत-ए-तकबीर रखनी है
उसे दुनिया के हर ग़म से मुकम्मल पाक तो कर लो
अगर इस दिल में बुनियाद-ए-ग़म-ए-शब्बीर रखनी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadeem Sirsivi
our suggestion based on Nadeem Sirsivi
As you were reading Self respect Shayari Shayari