mere kashkol mein bas sikka-e-rad hai had hai
phir bhi ye dil mera raazi-b-madad hai had hai
gham to hain bakht ke bazaar mein maujood bahut
kaasa-e-jism mein dil ek addad hai had hai
aaj ke daur ka insaan ajab hai yaarab
lab pe taarif hai seene mein hasad hai had hai
tha meri pusht pe suraj to ye ehsaas hua
mujh se ooncha to mere saaye ka qad hai had hai
mustanad mo'tamad-e-dil nahin ab koi yahan
mahram-e-raaz bhi mahroom-sanad hai had hai
main to tasveer-junoon ban gaya hota lekin
mujh ko roke hue bas paas-e-khirad hai had hai
roz-e-awwal hi mein har had se guzar baitha aur
cheekhta rah gaya hamdam mera had hai had hai
kab talak khaak-basar bhatke bhala baad-e-saba
ab to har shaakh pe phoolon ki lahd hai had hai
rang-e-ikhlaas bharoon kaise maraasim mein nadeem
us ki niyyat bhi meri tarah se bad hai had hai
मेरे कश्कोल में बस सिक्का-ए-रद है हद है
फिर भी ये दिल मिरा राज़ी-ब-मदद है हद है
ग़म तो हैं बख़्त के बाज़ार में मौजूद बहुत
कासा-ए-जिस्म में दिल एक अदद है हद है
आज के दौर का इंसान अजब है यारब
लब पे तारीफ़ है सीने में हसद है हद है
था मिरी पुश्त पे सूरज तो ये एहसास हुआ
मुझ से ऊँचा तो मिरे साए का क़द है हद है
मुस्तनद मो'तमद-ए-दिल नहीं अब कोई यहाँ
महरम-ए-राज़ भी महरूम-सनद है हद है
मैं तो तस्वीर-जुनूँ बन गया होता लेकिन
मुझ को रोके हुए बस पास-ए-ख़िरद है हद है
रोज़-ए-अव्वल ही में हर हद से गुज़र बैठा और
चीख़ता रह गया हमदम मिरा हद है हद है
कब तलक ख़ाक-बसर भटके भला बाद-ए-सबा
अब तो हर शाख़ पे फूलों की लहद है हद है
रंग-ए-इख़लास भरूँ कैसे मरासिम में 'नदीम'
उस की निय्यत भी मिरी तरह से बद है हद है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadeem Sirsivi
our suggestion based on Nadeem Sirsivi
As you were reading Dard Shayari Shayari