shuoor-e-ishq mile roo-e-daar raqs karoon | शुऊर-ए-इश्क़ मिले रू-ए-दार रक़्स करूँ

  - Nadeem Sirsivi

shuoor-e-ishq mile roo-e-daar raqs karoon
hain mere paas bahaane hazaar raqs karoon

goloo-e-khushk ki shah-e-rag thak ke kahti hai
kuchh aur tez ho khanjar ki dhaar raqs karoon

tawaaf-e-khaana-e-dildaar gar naseeb nahin
khud apne dil ka bana kar mazaar raqs karoon

barhana jism hai kohna libaas phat gaya hai
so odh kar main rida-e-ghubaar raqs karoon

ujaad dasht mein maqtal ye baar baar saje
lahu mein doob ke main baar baar raqs karoon

anee kuchh aur chubha ai sitam-shiaar ki main
tadap ke dard mein be-band-o-baar raqs karoon

dua hai meri main zakhamon ki taab la na sakoon
sharaab maut ka jaage khumaar raqs karoon

suna chuka sar-e-nezaa main ek taaza ghazal
nadeem hai mujhe ab ikhtiyaar raqs karoon

शुऊर-ए-इश्क़ मिले रू-ए-दार रक़्स करूँ
हैं मेरे पास बहाने हज़ार रक़्स करूँ

गुलू-ए-ख़ुश्क की शह-ए-रग थक के कहती है
कुछ और तेज़ हो ख़ंजर की धार रक़्स करूँ

तवाफ़-ए-ख़ाना-ए-दिलदार गर नसीब नहीं
ख़ुद अपने दिल का बना कर मज़ार रक़्स करूँ

बरहना जिस्म है कोहना लिबास फट गया है
सो ओढ़ कर मैं रिदा-ए-ग़ुबार रक़्स करूँ

उजाड़ दश्त में मक़्तल ये बार बार सजे
लहू में डूब के मैं बार बार रक़्स करूँ

अनी कुछ और चुभा ऐ सितम-शिआर कि मैं
तड़प के दर्द में बे-बंद-ओ-बार रक़्स करूँ

दुआ है मेरी मैं ज़ख़्मों की ताब ला न सकूँ
शराब मौत का जागे ख़ुमार रक़्स करूँ

सुना चुका सर-ए-नेज़ा मैं एक ताज़ा ग़ज़ल
'नदीम' है मुझे अब इख़्तियार रक़्स करूँ

  - Nadeem Sirsivi

Beqarari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem Sirsivi

As you were reading Shayari by Nadeem Sirsivi

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem Sirsivi

Similar Moods

As you were reading Beqarari Shayari Shayari