jab badha dard ki maujon ka dabaav sahab | जब बढ़ा दर्द की मौजों का दबाव साहब

  - Nadeem Sirsivi

jab badha dard ki maujon ka dabaav sahab
meri saanson ki larzne lagi naav sahab

is se badh kar nahin afsurda-mizaaji ka ilaaj
dil agar roye to auron ko hansaao sahab

ghup andhere mein ugaata hoon sukhun ka suraj
be-sabab thodi hai raaton se lagaav sahab

jab nahin milti naye zakham ki sougaat mujhe
chheel deta hoon puraana koi ghaav sahab

jis ki danaai ne mansookh kiye hosh-o-hawas
aise naadaan pe patthar na uthao sahab

main ne us husn-e-mujassam ki ziyaarat ki hai
meri aankhon ke zara daam lagao sahab

bijliyaan vasl ki saanson pe girao sahab
rukh se bheegi hui zulfon ko hatao sahab

jaise seharaaon mein milte hain do pyaase dariya
hont se hont kuchh is tarah milaao sahab

dil mohabbat ki saqaafat ka azal se hai ameen
is shahenshah ko nafrat na sikhaao sahab

jeet kar jashn manana to hui aam si baat
haar kar bhi to kabhi jashn manao sahab

ham naye ahad ke suqraat hain is baar hamein
zahar ka pyaala nahin jaam pilao sahab

जब बढ़ा दर्द की मौजों का दबाव साहब
मेरी साँसों की लरज़ने लगी नाव साहब

इस से बढ़ कर नहीं अफ़्सुर्दा-मिज़ाजी का इलाज
दिल अगर रोए तो औरों को हँसाओ साहब

घुप अँधेरे में उगाता हूँ सुख़न का सूरज
बे-सबब थोड़ी है रातों से लगाव साहब

जब नहीं मिलती नए ज़ख़्म की सौग़ात मुझे
छील देता हूँ पुराना कोई घाव साहब

जिस की दानाई ने मंसूख़ किए होश-ओ-हवास
ऐसे नादान पे पत्थर न उठाओ साहब

मैं ने उस हुस्न-ए-मुजस्सम की ज़ियारत की है
मेरी आँखों के ज़रा दाम लगाओ साहब

बिजलियाँ वस्ल की साँसों पे गिराओ साहब
रुख़ से भीगी हुई ज़ुल्फ़ों को हटाओ साहब

जैसे सहराओं में मिलते हैं दो प्यासे दरिया
होंट से होंट कुछ इस तरह मिलाओ साहब

दिल मोहब्बत की सक़ाफ़त का अज़ल से है अमीं
इस शहंशाह को नफ़रत न सिखाओ साहब

जीत कर जश्न मनाना तो हुई आम सी बात
हार कर भी तो कभी जश्न मनाओ साहब

हम नए अहद के सुक़रात हैं इस बार हमें
ज़हर का प्याला नहीं जाम पिलाओ साहब

  - Nadeem Sirsivi

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem Sirsivi

As you were reading Shayari by Nadeem Sirsivi

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem Sirsivi

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari