girift-e-karb se azaad ai dil ho hi jaaunga
abhi rasta hoon main ik roz manzil ho hi jaaunga
utar jaane de vehshat mere sar se habs-e-khalvat ki
main bit-tadreej phir maanoos-e-mahfil ho hi jaaunga
gire gar mujh pe barq-e-iltifaat-e-chashm-e-tar har dam
to main bil-jabr teri samt maail ho hi jaaunga
b-sad tarkeeb rakhe hain qadam tarteeb se main ne
agar tarteeb ye bigdi main zaail ho hi jaaunga
mataa-e-jaan to meri zaat ka hissa hai ik din main
tu mil jaayega to insaan-e-kaamil ho hi jaaunga
meri mazloomiyat ki raushni har-soo bikharna de
sar-e-maqtal main pesh-e-tegh-e-qaatil ho hi jaaunga
zara sa thehar jaayen be-khudi ki muztarib maujen
ai dast-e-gham main ik khaamosh saahil ho hi jaaunga
payambar dard ka ban ke tu gar duniya mein aayega
sahifa ban ke ashkon ka main naazil ho hi jaaunga
kaha us ne qareeb aa kar nadeem ashaar ki soorat
rag-e-afqaar mein teri main shaamil ho hi jaaunga
गिरफ़्त-ए-कर्ब से आज़ाद ऐ दिल हो ही जाऊँगा
अभी रस्ता हूँ मैं इक रोज़ मंज़िल हो ही जाऊँगा
उतर जाने दे वहशत मेरे सर से हब्स-ए-ख़ल्वत की
मैं बित-तदरीज फिर मानूस-ए-महफ़िल हो ही जाऊँगा
गिरे गर मुझ पे बर्क़-ए-इल्तिफ़ात-ए-चश्म-ए-तर हर दम
तो मैं बिल-जब्र तेरी सम्त माइल हो ही जाऊँगा
ब-सद तरकीब रक्खे हैं क़दम तरतीब से मैं ने
अगर तरतीब ये बिगड़ी मैं ज़ाइल हो ही जाऊँगा
मता-ए-जाँ तो मेरी ज़ात का हिस्सा है इक दिन मैं
तू मिल जाएगा तो इंसान-ए-कामिल हो ही जाऊँगा
मिरी मज़लूमियत की रौशनी हर-सू बिखरने दे
सर-ए-मक़्तल मैं पेश-ए-तेग़-ए-क़ातिल हो ही जाऊँगा
ज़रा सा ठहर जाएँ बे-ख़ुदी की मुज़्तरिब मौजें
ऐ दश्त-ए-ग़म मैं इक ख़ामोश साहिल हो ही जाऊँगा
पयम्बर दर्द का बन के तू गर दुनिया में आएगा
सहीफ़ा बन के अश्कों का मैं नाज़िल हो ही जाऊँगा
कहा उस ने क़रीब आ कर 'नदीम' अशआ'र की सूरत
रग-ए-अफ़्क़ार में तेरी मैं शामिल हो ही जाऊँगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadeem Sirsivi
our suggestion based on Nadeem Sirsivi
As you were reading Dard Shayari Shayari