ek ham hi nahin taqdeer ke maare sahab | एक हम ही नहीं तक़दीर के मारे साहब

  - Nadeem Sirsivi

ek ham hi nahin taqdeer ke maare sahab
log hain bakht-zada saare ke saare sahab

mera neze pe saja sar hai paayaam-e-ghairat
koi neze se mera sar na utaare sahab

main bhi bachpan mein khalaon ka safar karta tha
khela karte the mere saath sitaare sahab

dafa'atan ham ne sila paaya munaajaaton ka
dafa'atan saamne aaye vo hamaare sahab

jaanwar mein haya insaan se ziyaada dekhi
ulte bahne lage tahzeeb ke dhaare sahab

mujh mein duniya rahi aur main bhi raha duniya mein
mujh ko ghere rahe har waqt khasaare sahab

taaki daryaon ki vehshat rahe haavi sab par
doob jaata hoon main dariya ke kinaare sahab

istiqaamat ka gala ghont ke dam lete hain
kitne wahshi hua karte hain sahaare sahab

shukriya aap ne bardaasht to kar li ye ghazal
aap bhi jaaie ab ham bhi sidhaare sahab

एक हम ही नहीं तक़दीर के मारे साहब
लोग हैं बख़्त-ज़दा सारे के सारे साहब

मेरा नेज़े पे सजा सर है पयाम-ए-ग़ैरत
कोई नेज़े से मिरा सर न उतारे साहब

मैं भी बचपन में ख़लाओं का सफ़र करता था
खेला करते थे मिरे साथ सितारे साहब

दफ़अ'तन हम ने सिला पाया मुनाजातों का
दफ़अ'तन सामने आए वो हमारे साहब

जानवर में हया इंसाँ से ज़ियादा देखी
उल्टे बहने लगे तहज़ीब के धारे साहब

मुझ में दुनिया रही और मैं भी रहा दुनिया में
मुझ को घेरे रहे हर वक़्त ख़सारे साहब

ताकि दरियाओं की वहशत रहे हावी सब पर
डूब जाता हूँ मैं दरिया के किनारे साहब

इस्तक़ामत का गला घोंट के दम लेते हैं
कितने वहशी हुआ करते हैं सहारे साहब

शुक्रिया आप ने बर्दाश्त तो कर ली ये ग़ज़ल
आप भी जाइए अब हम भी सिधारे साहब

  - Nadeem Sirsivi

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem Sirsivi

As you were reading Shayari by Nadeem Sirsivi

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem Sirsivi

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari