ek ajeeb khwaahish hai
is zameen ke kone mein
sirf mah-jabeenon ki
sab ki sab haseenon ki
apni ek basti ho
zindagi jahaan har pal khilkhila ke hansati ho
rang-o-noor ki baarish
har ghadi barasti ho
sab ghazal-naino mein
shokh si sharaarat ho
in ki jumbish-e-lab se
zindagi ibaarat ho
khushiyon ka jhamela ho
palkon pe sitaare hon
raushni ka rela ho
khushbuon ka mela ho
aur mah-jabeenon ki is haseen basti mein
ek sirf mera hi
chudiyon ka thela ho
एक अजीब ख़्वाहिश है
इस ज़मीं के कोने में
सिर्फ़ मह-जबीनों की
सब की सब हसीनों की
अपनी एक बस्ती हो
ज़िंदगी जहाँ हर पल खिलखिला के हँसती हो
रंग-ओ-नूर की बारिश
हर घड़ी बरसती हो
सब ग़ज़ाल-नैनों में
शोख़ सी शरारत हो
इन की जुम्बिश-ए-लब से
ज़िंदगी इबारत हो
ख़ुशियों का झमेला हो
पलकों पे सितारे हों
रौशनी का रेला हो
ख़ुशबुओं का मेला हो
और मह-जबीनों की इस हसीन बस्ती में
एक सिर्फ़ मेरा ही
चूड़ियों का ठेला हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naeem Zarrar Ahmad
our suggestion based on Naeem Zarrar Ahmad
As you were reading Shehar Shayari Shayari