shoor-e-zaat ke saanche mein dhalna chahta hoon
main girne se bahut pehle sambhalna chahta hoon
libaas-e-aadam-e-khaaki badalna chahta hoon
main apne jism se baahar nikalna chahta hoon
tumhaari yaad ki baarish mein jalna chahta hoon
main sang-o-khisht hoon lekin pighalna chahta hoon
mere andar khazaane hain ugalnaa chahta hoon
tah-e-paataal ko choo kar uchhalna chahta hoon
mujhe peeche nahin rahna hai jeene ki tamannaa
husain ibn-e-ali ke saath chalna chahta hoon
शुऊर-ए-ज़ात के साँचे में ढलना चाहता हूँ
मैं गिरने से बहुत पहले सँभलना चाहता हूँ
लिबास-ए-आदम-ए-ख़ाकी बदलना चाहता हूँ
मैं अपने जिस्म से बाहर निकलना चाहता हूँ
तुम्हारी याद की बारिश में जलना चाहता हूँ
मैं संग-ओ-ख़िश्त हूँ लेकिन पिघलना चाहता हूँ
मिरे अंदर ख़ज़ाने हैं उगलना चाहता हूँ
तह-ए-पाताल को छू कर उछलना चाहता हूँ
मुझे पीछे नहीं रहना है जीने की तमन्ना
हुसैन इब्न-ए-अली के साथ चलना चाहता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naeem Zarrar Ahmad
our suggestion based on Naeem Zarrar Ahmad
As you were reading Baarish Shayari Shayari