jafa-e-ahd ka ilzaam ult bhi saka hoon | जफ़ा-ए-अहद का इल्ज़ाम उलट भी सकता हूँ

  - Naeem Zarrar Ahmad

jafa-e-ahd ka ilzaam ult bhi saka hoon
use yaqeen na tha main palat bhi saka hoon

main apne ishq mein shaheen mizaaj rakhta hoon
palat to jaata hoon lekin jhapat bhi saka hoon

junoon mein zulm ki gardan utaar leta hoon
to ik nigaah-e-mohabbat mein kat bhi saka hoon

adoo-e-shehr main baarood hoon mohabbat ka
hadon se baat badhegi to phat bhi saka hoon

bisaat-e-arz pe chaahoon to phail jaaun main
ho ramz-e-yaar to dil mein simat bhi saka hoon

जफ़ा-ए-अहद का इल्ज़ाम उलट भी सकता हूँ
उसे यक़ीन न था मैं पलट भी सकता हूँ

मैं अपने इश्क़ में शाहीं मिज़ाज रखता हूँ
पलट तो जाता हूँ लेकिन झपट भी सकता हूँ

जुनूँ में ज़ुल्म की गर्दन उतार लेता हूँ
तो इक निगाह-ए-मोहब्बत में कट भी सकता हूँ

अदू-ए-शहर मैं बारूद हूँ मोहब्बत का
हदों से बात बढ़ेगी तो फट भी सकता हूँ

बिसात-ए-अर्ज़ पे चाहूँ तो फैल जाऊँ मैं
हो रम्ज़-ए-यार तो दिल में सिमट भी सकता हूँ

  - Naeem Zarrar Ahmad

Diwangi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naeem Zarrar Ahmad

As you were reading Shayari by Naeem Zarrar Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Naeem Zarrar Ahmad

Similar Moods

As you were reading Diwangi Shayari Shayari