nazar se jis ki ab mastur hoon main
usi ki yaad se ma'amoor hoon main
chataanon ki tarah madd-e-muqaabil
magar andar se chakna-choor hoon main
shab-e-zulmat nahin hawwa ki beti
ujaala hoon sehar ka noor hoon main
mohabbat ka taqaza hai muravvat
samajhna ye nahin majboor hoon main
wafa ka pyaar ka paikar hoon lekin
jo ho sayyaad to zanboor hoon main
hawa le kar udri hai zard patte
chaman mein nargis-e-ranjoor hoon main
nishaan us ki jabeen ka kah raha hai
tajalli se jala hoon toor hoon main
ana tooti faqat ruswaaiyon se
khushamad se to koson door hoon main
नज़र से जिस की अब मस्तूर हूँ मैं
उसी की याद से मा'मूर हूँ मैं
चटानों की तरह मद्द-ए-मुक़ाबिल
मगर अंदर से चकना-चूर हूँ मैं
शब-ए-ज़ुल्मत नहीं हव्वा की बेटी
उजाला हूँ सहर का नूर हूँ मैं
मोहब्बत का तक़ाज़ा है मुरव्वत
समझना ये नहीं मजबूर हूँ मैं
वफ़ा का प्यार का पैकर हूँ लेकिन
जो हो सय्याद तो ज़ंबूर हूँ मैं
हवा ले कर उड़ी है ज़र्द पत्ते
चमन में नर्गिस-ए-रंजूर हूँ मैं
निशाँ उस की जबीं का कह रहा है
तजल्ली से जला हूँ तूर हूँ मैं
'अना' टूटी फ़क़त रुस्वाइयों से
ख़ुशामद से तो कोसों दूर हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nafeesa Sultana Ana
our suggestion based on Nafeesa Sultana Ana
As you were reading Jalwa Shayari Shayari