jo gaya bahr-e-taghaful mein bhanwar tak pahuncha
doob kar ilm ke dariya mein guhar tak pahuncha
ye jahaan ek mukaafaat-e-amal hai jis ne
jad ko seencha wahi faldar shajar tak pahuncha
kar ke barbaad zameen hazrat-e-insaan dekho
ab sukoonat ke liye arz-e-qamar tak pahuncha
paas aati na ana tere kahaan jaati jab
us ka har rasta tiri raahguzar tak pahuncha
जो गया बहर-ए-तग़ाफ़ुल में भँवर तक पहुँचा
डूब कर इल्म के दरिया में गुहर तक पहुँचा
ये जहाँ एक मुकाफ़ात-ए-अमल है जिस ने
जड़ को सींचा वही फलदार शजर तक पहुँचा
कर के बर्बाद ज़मीं हज़रत-ए-इंसाँ देखो
अब सुकूनत के लिए अर्ज़-ए-क़मर तक पहुँचा
पास आती न 'अना' तेरे कहाँ जाती जब
उस का हर रस्ता तिरी राहगुज़र तक पहुँचा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nafeesa Sultana Ana
our suggestion based on Nafeesa Sultana Ana
As you were reading Dariya Shayari Shayari