raaste saare bhool chuki hoon
apni zaat ki band gali hoon
jo hai dil mein vo hai zabaan par
aaine ki tarah kharee hoon
dil jo chahe aql na maane
main bhi kis chakkar mein padi hoon
patthar barsaate mausam mein
sheeshe se sar dhak ke chali hoon
is paagal naaheed ke haathon
kahaan kahaan na khwaar hui hoon
रस्ते सारे भूल चुकी हूँ
अपनी ज़ात की बंद गली हूँ
जो है दिल में वो है ज़बाँ पर
आईने की तरह खरी हूँ
दिल जो चाहे अक़्ल न माने
मैं भी किस चक्कर में पड़ी हूँ
पत्थर बरसाते मौसम में
शीशे से सर ढक के चली हूँ
इस पागल 'नाहीद' के हाथों
कहाँ कहाँ न ख़्वार हुई हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nahid Akhtar
our suggestion based on Nahid Akhtar
As you were reading Dil Shayari Shayari