hai khaar khaar jahaan narm narm khoo rakhiyo
hateliyon mein gulaabon ke rang-o-boo rakhiyo
ganwa na deejio sab shahr-e-dil-nigaaraan mein
bacha ke thodi si sahba-e-aarzoo rakhiyo
vo log jo hain ta'assub ki teergi ke aseer
jala ke dil ka diya un ke roo-b-roo rakhiyo
paron se peetatee sar ko chali gai bulbul
ilaahi mere chaman ki tu aabroo rakhiyo
ki reza-reza bikhar jaayegi tumhaari zaat
zamaana sang hai na aaine ki khoo rakhiyo
jo kah rahi hain ghazal rang-e-'meer mein naaheed
to us ke rutbe ki lillaah aabroo rakhiyo
है ख़ार ख़ार जहाँ नर्म नर्म ख़ू रखियो
हथेलियों में गुलाबों के रंग-ओ-बू रखियो
गँवा न दीजियो सब शहर-ए-दिल-निगारां में
बचा के थोड़ी सी सहबा-ए-आरज़ू रखियो
वो लोग जो हैं तअ'स्सुब की तीरगी के असीर
जला के दिल का दिया उन के रू-ब-रू रखियो
परों से पीटती सर को चली गई बुलबुल
इलाही मेरे चमन की तू आबरू रखियो
कि रेज़ा-रेज़ा बिखर जाएगी तुम्हारी ज़ात
ज़माना संग है न आइने की ख़ू रखियो
जो कह रही हैं ग़ज़ल रंग-ए-'मीर' में 'नाहीद'
तो उस के रुत्बे की लिल्लाह आबरू रखियो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nahid Akhtar
our suggestion based on Nahid Akhtar
As you were reading Nature Shayari Shayari