hai aaj andhera har jaanib aur noor ki baatein karte hain | है आज अंधेरा हर जानिब और नूर की बातें करते हैं

  - Obaidur Rahman

hai aaj andhera har jaanib aur noor ki baatein karte hain
nazdeek ki baaton se khaif ham door ki baatein karte hain

taameer-o-tarqqi waale hain kahiye bhi to un ko kya kahiye
jo sheesh-mahal mein baithe hue mazdoor ki baatein karte hain

ye log wahi hain jo kal tak tanzeem-e-chaman ke dushman the
ab aaj hamaare munh par ye dastoor ki baatein karte hain

ik bhaai ko dooje bhaai se ladne ka jo dete hain paighaam
vo log na jaane phir kaise jamhoor ki baatein karte hain

ik khwaab ki waadi hai jis mein rahte hain hamesha khoye hue
dharti pe nahin hain jin ke qadam vo toor ki baatein karte hain

ham ko ye gila mehboob unhen afsaana-e-bazm-e-aish-o-tarab
shikwa ye unhen ham un se dil-e-ranjoor ki baatein karte hain

kya khoob ada hai un ki ubaid andaaz-e-karam hai kitna haseen
majboor ke haq se na-waaqif majboor ki baatein karte hain

है आज अंधेरा हर जानिब और नूर की बातें करते हैं
नज़दीक की बातों से ख़ाइफ़ हम दूर की बातें करते हैं

तामीर-ओ-तरक़्क़ी वाले हैं कहिए भी तो उन को क्या कहिए
जो शीश-महल में बैठे हुए मज़दूर की बातें करते हैं

ये लोग वही हैं जो कल तक तंज़ीम-ए-चमन के दुश्मन थे
अब आज हमारे मुँह पर ये दस्तूर की बातें करते हैं

इक भाई को दूजे भाई से लड़ने का जो देते हैं पैग़ाम
वो लोग न जाने फिर कैसे जम्हूर की बातें करते हैं

इक ख़्वाब की वादी है जिस में रहते हैं हमेशा खोए हुए
धरती पे नहीं हैं जिन के क़दम वो तूर की बातें करते हैं

हम को ये गिला महबूब उन्हें अफ़्साना-ए-बज़्म-ए-ऐश-ओ-तरब
शिकवा ये उन्हें हम उन से दिल-ए-रंजूर की बातें करते हैं

क्या ख़ूब अदा है उन की 'उबैद' अंदाज़-ए-करम है कितना हसीं
मजबूर के हक़ से ना-वाक़िफ़ मजबूर की बातें करते हैं

  - Obaidur Rahman

Romance Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaidur Rahman

As you were reading Shayari by Obaidur Rahman

Similar Writers

our suggestion based on Obaidur Rahman

Similar Moods

As you were reading Romance Shayari Shayari