to ab haalat mein apni yun bhi tabdeeli nahin hoti
ye mitti khoon bhi pee kar kabhi geeli nahin hoti
hua jaata hai qudrat ke usoolon mein dakheel insaan
hawa ab to december mein bhi barfeeli nahin hoti
chalo aankhon se ab ke baat kar ke dekhte hain ham
zabaan se baat to hoti hai tafseeli nahin hoti
vo jo mehsoos karti hai bayaan karti hai ab khul kar
ghazal pehle zamaane jaisi sharmeeli nahin hoti
hamein hai shauq aisa thokron ko aazmaane ka
ki us rah par nahin chalte jo pathreeli nahin hoti
sambhal kar ai ubaid'-e-khush-gumaan rahna thehar kar yaa
bila maqsad miyaan rassi kabhi dheeli nahin hoti
तो अब हालत में अपनी यूँ भी तब्दीली नहीं होती
ये मिट्टी ख़ून भी पी कर कभी गीली नहीं होती
हुआ जाता है क़ुदरत के उसूलों में दख़ील इंसाँ
हवा अब तो दिसम्बर में भी बर्फ़ीली नहीं होती
चलो आँखों से अब के बात कर के देखते हैं हम
ज़बाँ से बात तो होती है तफ़सीली नहीं होती
वो जो महसूस करती है बयाँ करती है अब खुल कर
ग़ज़ल पहले ज़माने जैसी शर्मीली नहीं होती
हमें है शौक़ ऐसा ठोकरों को आज़माने का
कि उस रह पर नहीं चलते जो पथरीली नहीं होती
सँभल कर ऐ 'उबैद'-ए-ख़ुश-गुमाँ रहना ठहर कर याँ
बिला मक़्सद मियाँ रस्सी कभी ढीली नहीं होती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidur Rahman
our suggestion based on Obaidur Rahman
As you were reading Berozgari Shayari Shayari