shaam ka intizaar karta hoon | शाम का इंतिज़ार करता हूँ

  - Om Bhutkar Maghloob

shaam ka intizaar karta hoon
main andhere se pyaar karta hoon

meri manhoos baat mat taalo
ghaafilo hoshiyaar karta hoon

ro ke dam le ke phir se ro dena
bas yahi baar baar karta hoon

raat bhar hans ke raat tak rooun
jo karoon be-shumaar karta hoon

tere dil ko qaraar hai kab se
aa idhar be-qaraar karta hoon

bewafaai ko rakho ek taraf
ishq main shaandaar karta hoon

ye jo maghloob tera ghar hai na
aaj is ko mazaar karta hoon

शाम का इंतिज़ार करता हूँ
मैं अँधेरे से प्यार करता हूँ

मेरी मनहूस बात मत टालो
ग़ाफ़िलो होशियार करता हूँ

रो के दम ले के फिर से रो देना
बस यही बार बार करता हूँ

रात भर हँस के रात तक रोऊँ
जो करूँ बे-शुमार करता हूँ

तेरे दिल को क़रार है कब से
आ इधर बे-क़रार करता हूँ

बेवफ़ाई को रक्खो एक तरफ़
इश्क़ मैं शानदार करता हूँ

ये जो 'मग़्लूब' तेरा घर है ना
आज इस को मज़ार करता हूँ

  - Om Bhutkar Maghloob

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Om Bhutkar Maghloob

As you were reading Shayari by Om Bhutkar Maghloob

Similar Writers

our suggestion based on Om Bhutkar Maghloob

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari