palak se ik ishaara bas kiye jaate to ruk jaate | पलक से इक इशारा बस किए जाते तो रुक जाते

  - Om Bhutkar Maghloob

palak se ik ishaara bas kiye jaate to ruk jaate
nikalte dam khafa ho kar nahin aate to ruk jaate

sataaya hi nahin tum ne zara sa bhi kabhi ham ko
meherbaan tum kabhi ham par sitam dhhaate to ruk jaate

suna ham ne tumhein akshar ajab se geet gaate bas
kisi din ke kinaare ik ghazal gaate to ruk jaate

hamein mehfil mein rukne ka to tha bas ek hi rasta
wahan mehfil mein jaate aur zahar khaate to ruk jaate

ye gul-daste ke badle mein jahaan milte the ham akshar
wahan ke ped ki patti utha laate to ruk jaate

पलक से इक इशारा बस किए जाते तो रुक जाते
निकलते दम ख़फ़ा हो कर नहीं आते तो रुक जाते

सताया ही नहीं तुम ने ज़रा सा भी कभी हम को
मेहरबाँ तुम कभी हम पर सितम ढाते तो रुक जाते

सुना हम ने तुम्हें अक्सर अजब से गीत गाते बस
किसी दिन के किनारे इक ग़ज़ल गाते तो रुक जाते

हमें महफ़िल में रुकने का तो था बस एक ही रस्ता
वहाँ महफ़िल में जाते और ज़हर खाते तो रुक जाते

ये गुल-दस्ते के बदले में जहाँ मिलते थे हम अक्सर
वहाँ के पेड़ की पत्ती उठा लाते तो रुक जाते

  - Om Bhutkar Maghloob

Ghayal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Om Bhutkar Maghloob

As you were reading Shayari by Om Bhutkar Maghloob

Similar Writers

our suggestion based on Om Bhutkar Maghloob

Similar Moods

As you were reading Ghayal Shayari Shayari