neend ko neend aaye jaati hai
raat mujh ko jagaae jaati hai
ek ladki jo mar gai kab ki
vo abhi tak bulaaye jaati hai
har tarah ret hai jo sehra ki
naam baarish bataaye jaati hai
aayi to thi vo gul khilaane ko
aur kya gul khilaaye jaati hai
kamra andar se band kar ke vo
qaid jag ko karaaye jaati hai
din umeedon ko cheen leta hai
raat sapne dikhaaye jaati hai
main haqeeqat bataaye jaata hoon
vo kahaani sunaaye jaati hai
main bhi ab ghar mein kam hi jaata hoon
maa bhi aadat banaaye jaati hai
नींद को नींद आए जाती है
रात मुझ को जगाए जाती है
एक लड़की जो मर गई कब की
वो अभी तक बुलाए जाती है
हर तरह रेत है जो सहरा की
नाम बारिश बताए जाती है
आई तो थी वो गुल खिलाने को
और क्या गुल खिलाए जाती है
कमरा अंदर से बंद कर के वो
क़ैद जग को कराए जाती है
दिन उमीदों को छीन लेता है
रात सपने दिखाए जाती है
मैं हक़ीक़त बताए जाता हूँ
वो कहानी सुनाए जाती है
मैं भी अब घर में कम ही जाता हूँ
माँ भी आदत बनाए जाती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Om Bhutkar Maghloob
our suggestion based on Om Bhutkar Maghloob
As you were reading Raat Shayari Shayari