apni aankhon se na dekho yun na dekho dekho
hai abhi aag bujhi phir na lagao dekho
bujh gaye apni mohabbat ke diye ab to bas
nafratein aankh ki aapas mein dikhaao dekho
baagh mein phool khile aaye kabhi bulbul to
ab ke mujh se na kaho daud ke aao dekho
us ke ho jis ke main bas zikr pe bhi kehta tha
phir kabhi naam bhi us ka jo liya to dekho
un se maghloob kahein dil ki haqeeqat kaise
vo to har aib pe chillate hain dekho dekho
अपनी आँखों से न देखो यूँ न देखो देखो
है अभी आग बुझी फिर न लगाओ देखो
बुझ गए अपनी मोहब्बत के दिये अब तो बस
नफ़रतें आँख की आपस में दिखाओ देखो
बाग़ में फूल खिले आए कभी बुलबुल तो
अब के मुझ से न कहो दौड़ के आओ देखो
उस के हो जिस के मैं बस ज़िक्र पे भी कहता था
फिर कभी नाम भी उस का जो लिया तो देखो
उन से 'मग़्लूब' कहें दिल की हक़ीक़त कैसे
वो तो हर ऐब पे चिल्लाते हैं देखो देखो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Om Bhutkar Maghloob
our suggestion based on Om Bhutkar Maghloob
As you were reading Environment Shayari Shayari