sab ko khud se bacha raha hoon main | सब को ख़ुद से बचा रहा हूँ मैं

  - Om Bhutkar Maghloob

sab ko khud se bacha raha hoon main
apna naqsha mita raha hoon main

dil ka tere hawa mein jaan-e-jaan
purza purza uda raha hoon main

ya sajaata hoon teri doli ya
apni mayyat saja raha hoon main

taaki phir she'r ka dhamaaka ho
roz baarood kha raha hoon main

dil ke main ne badhaaye daam bahut
jaan sasti bana raha hoon main

dhong hai ye meri nayi ulfat
ab bhi wa'da nibha raha hoon main

baat manhoos ik sunaane ko
pehle achhi suna raha hoon main

eed diwali ho ki baisakhi
jashn-e-urdu manaa raha hoon main

tang aaya hata ke kaanton ko
ab to rasta hata raha hoon main

ab to dete nahin ghulaami bhi
daur tha ik khuda raha hoon main

aag lagne ki chaah se hi to
sham'a ghar mein jala raha hoon main

ab tira zahar phaile baahar bhi
ab to maghloob ja raha hoon main

सब को ख़ुद से बचा रहा हूँ मैं
अपना नक़्शा मिटा रहा हूँ मैं

दिल का तेरे हवा में जान-ए-जाँ
पुर्ज़ा पुर्ज़ा उड़ा रहा हूँ मैं

या सजाता हूँ तेरी डोली या
अपनी मय्यत सजा रहा हूँ मैं

ताकि फिर शे'र का धमाका हो
रोज़ बारूद खा रहा हूँ मैं

दिल के मैं ने बढ़ाए दाम बहुत
जान सस्ती बना रहा हूँ मैं

ढोंग है ये मिरी नई उल्फ़त
अब भी वा'दा निभा रहा हूँ मैं

बात मनहूस इक सुनाने को
पहले अच्छी सुना रहा हूँ मैं

ईद दीवाली हो कि बैसाखी
जश्न-ए-उर्दू मना रहा हूँ मैं

तंग आया हटा के काँटों को
अब तो रस्ता हटा रहा हूँ मैं

अब तो देते नहीं ग़ुलामी भी
दौर था इक ख़ुदा रहा हूँ मैं

आग लगने की चाह से ही तो
शम्अ' घर में जला रहा हूँ मैं

अब तिरा ज़हर फैले बाहर भी
अब तो 'मग़्लूब' जा रहा हूँ मैं

  - Om Bhutkar Maghloob

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Om Bhutkar Maghloob

As you were reading Shayari by Om Bhutkar Maghloob

Similar Writers

our suggestion based on Om Bhutkar Maghloob

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari