be-qaraari ko be-qaraari hai | बे-क़रारी को बे-क़रारी है

  - Om Bhutkar Maghloob

be-qaraari ko be-qaraari hai
kis ke ghar jaaun kis ki baari hai

saari duniya ka dil dukhaane ki
jaan-e-man teri zimmedaari hai

dil phir apna unhin ko de baithe
maut ka intizaam jaari hai

hukm hote hi main uchhalta hoon
saari duniya meri madari hai

main kisi ko nazar nahin aata
kis ne meri nazar utaari hai

cheekh jo nai abhi sunaai di
sun lo maghloob vo tumhaari hai

बे-क़रारी को बे-क़रारी है
किस के घर जाऊँ किस की बारी है

सारी दुनिया का दिल दुखाने की
जान-ए-मन तेरी ज़िम्मेदारी है

दिल फिर अपना उन्हीं को दे बैठे
मौत का इंतिज़ाम जारी है

हुक्म होते ही मैं उछलता हूँ
सारी दुनिया मिरी मदारी है

मैं किसी को नज़र नहीं आता
किस ने मेरी नज़र उतारी है

चीख़ जो नईं अभी सुनाई दी
सुन लो 'मग़्लूब' वो तुम्हारी है

  - Om Bhutkar Maghloob

Maut Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Om Bhutkar Maghloob

As you were reading Shayari by Om Bhutkar Maghloob

Similar Writers

our suggestion based on Om Bhutkar Maghloob

Similar Moods

As you were reading Maut Shayari Shayari