gar mujhe saada-dil banaya tha
to bhala kyun jahaan mein laaya tha
waajib-ul-qatl maaniye us ko
jis ne lafz-e-wafa banaya tha
saath gham bhi to chhod deta hai
be-sabab dil jigar jalaya tha
she'r ye bhoop mein kyun gaane lage
main ne to bhairavi bataaya tha
kal mere ghar mein mera qatl hua
khush bahut hoon koi to aaya tha
aakhiri din khuda ye kehne lage
kis ne tum ko yahan bulaaya tha
ab meri maa hai bas jo poochhti hai
kis ne maghloob ko sataaya tha
गर मुझे सादा-दिल बनाया था
तो भला क्यों जहाँ में लाया था
वाजिब-उल-क़त्ल मानिए उस को
जिस ने लफ़्ज-ए-वफ़ा बनाया था
साथ ग़म भी तो छोड़ देता है
बे-सबब दिल जिगर जलाया था
शे'र ये भूप में क्यों गाने लगे
मैं ने तो भैरवी बताया था
कल मिरे घर में मेरा क़त्ल हुआ
ख़ुश बहुत हूँ कोई तो आया था
आख़िरी दिन ख़ुदा ये कहने लगे
किस ने तुम को यहाँ बुलाया था
अब मिरी माँ है बस जो पूछती है
किस ने 'मग़्लूब' को सताया था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Om Bhutkar Maghloob
our suggestion based on Om Bhutkar Maghloob
As you were reading Dil Shayari Shayari